Ya Nabi mujh ko Madeene mein bulana baar baar
Baar baar aaun banay aakhir Madeene mein mazaar
Hain hawayein mehki mehki toh fazayein khushgawar
Zarra zarra hai Madeene ka yaqeenan noor baar
Kaash jab aaun Madeene khoob taari ho junoon
Ho gareeban chaak seena chaak daaman taar taar
Maal ki kasrat ka takht o taaj ka taalib nahi
Ho ata khasta jigar aur aankh de do ashk baar
Wasita shetan ka mera gunahon ka marz
Door kar dijiye khudara ae tabeeb e zee waqar
Fikre nazaa rooh o qabr o hashr se bach jaata gar
Kaash hota aap ki galiyon ka mein gard o ghubar
Aah chhaya hai gunahon ka andhera chaar su
Ho nigah-e-noor mujh par ya Shah-e-Alam Madar
Kaash yaawah goi bad-akhlaqi aur beja hansi
Ki meri sab aadatein chhootein mere Parwardigar
Misal-e-bismil mein tarapta hi rahoon Sarkar kaash!
Aap ke gham mein rahoon Aaqa hamesha dilfigar
Daulat-e-duniya se be-raghbat mujhe kar dijiye
Meri haajat se mujhe zaid na karna maaldar
Ho Madina hi Madina har ghari wird-e-zabaan
Bas Madina hi ki ho takrar lab par baar baar
Gunbad-e-Khizra ki thandi thandi chhaon mein mera
Khatma bilkhair ho ae kaash! Mere Kirdgar
Ae mere Aaqa azizon ne jise thukra diya
Us ko qadmon se laga lo ghamzadon ke ghamsar
Arsa-e-Mahshar mein Aaqa laaj rakhna aap hi
Daman-e-Attar hai Sarkar behad daghdar