Ya Rasool Allah aa kar dekh lo
Ya Madine mein bula kar dekh lo
Saikron ke dil munawwar kar diye
Is taraf bhi aankh utha kar dekh lo
Kushta-e-deedar zinda ho abhi
Jaan-e-Isa lab hila kar dekh lo
Kalma parhte jee uthein murday abhi
Jaan-e-Isa lab hila kar dekh lo
Ranj-o-gham dard-o-alam ke mere gird
Bheer hai Sarkar aa kar dekh lo
Chhere jaate hain mujhe Munkar Nakeer
Gor mein tashreef la kar dekh lo
Meri aankhon mein tumhein ho jalwa gar
Chashm-e-mizhgan utha kar dekh lo
Yeh kabhi inkar karte hi nahin
Be-nawao aazma kar dekh lo
Chahe jo mango ata farmayenge
Namurado haath utha kar dekh lo
Sair-e-jannat dekhna chaho agar
Roza-e-Anwar pe aa kar dekh lo
Do jahan ki sarfarazi ho naseeb
Un ke aage sar jhuka kar dekh lo
Toor par jalwa jo dekha tha Kaleem
Haj yaan parda utha kar dekh lo
Un ki rifat ka pata milta nahin
Mehr-o-mah chakkar laga kar dekh lo
Is Jamil Qadri ko bhi Huzoor
Apne dar ka sag bana kar dekh lo