Ya Shaheed-e-Karbala faryad hai, Noor-e-chashm-e-Fatima faryad hai
Aah! Sibth-e-Mustafa faryad hai, haye! Ibn-e-Murtaza faryad hai
Baira amwaj-e-talatum mein phansa aah! Meray nakhuda faryad hai
Us Ali Akbar ka sadqa jo ke hain hum shabih-e-Mustafa faryad hai
Hai meri hajat mein Taiba mein maroon ae meray hajat rawa faryad hai
Mujh ko deewana Madinay ka bana Noor-e-chashm-e-Mustafa faryad hai
Saqi-e-Kausar ka sadqa Saqiya! Jam-e-ulfat ka pila faryad hai
Dushmanon ki dushmani se tang hoon Shahsawar-e-Karbala faryad hai
Hasidon ka barh gaya had se hasad aur sulook-e-narawa faryad hai
Thar-tharata hai kaleja khauf se door ho khauf aa bhi ja faryad hai
Raastay hi mein bhatak kar reh gaya rahbari kar rehnuma faryad hai
De diya saray tabibon ne jawab bahr-e-Zahra! de shifa faryad hai
Main nikamma hoon nikamme ko nibha kaun hai tere siwa faryad hai
Nafs o shaitan ki pakar mein aa gaya zor e isiyan barh chala faryad hai
De Ali Asghar ka sadqa sarwara paikar e jood o sakha faryad hai
Jaan kani mein sakhtiyon par sakhtiyan barh rahi hain syyada faryad hai
Paar utaar ae rakib e dosh e Nabi bahr e gham se nakhuda faryad hai
Be-wafa duniya ki ulfat door ho paikar e sidq o wafa faryad hai
Behr e Zainab be-hayai ka huzoor khatma ho khatma faryad hai
Ya Hussain islami behnon ko bana paikar e sharm o haya faryad hai
Har taraf se hai balaon ka hujoom dafi e karb o bala faryad hai
Sabr ka paimana ab labrez hai paikar e sabr o raza faryad hai
Muflis o lachar o khasta haal hoon makhzan e jood o ata faryad hai
Chha gayi dil par khizan pyare Hussain! de bahar e jaanfaza faryad hai
Hubb-e-sadat ae khuda de wasta ahl-e-bait-e-pak ka faryad hai
Aafton par aaften hain al-madad sayyid o sardar-e-ma faryad hai
Deen ki khidmat ka jazba dijiye sadqa nana jaan ka faryad hai
Sunnaton ki har taraf aaye bahar sadqa mere ghous ka faryad hai
Chal gayi baad-e-mukhalif al-ghiyas ae Hussain-e-ba-wafa faryad hai
Kash! ho jaon madine mein shaheed aap farma dein dua faryad hai
Bakht ki hain jis qadar bhi guthiyan sari suljha do shaha faryad hai
Karbala ki haziri ho phir naseeb bakht-e-khwabida jaga faryad hai
Haal hai be-haal Shah-e-Karbala
Aap ke Attar ka faryad hai