Home/Imam Ahmad Raza Khan Qadri/Yaad mein jis ki nahin hosh-e-tan-o-jaan hum ko

Yaad mein jis ki nahin hosh-e-tan-o-jaan hum ko

Written by Imam Ahmad Raza Khan Qadri

100%
Yaad mein jis ki nahin hosh-e-tan-o-jaan hum ko Phir dikha de woh rukh-e-mehr-e-furozan hum ko Der se aap mein aana nahin milta hai hamen Kya hi khud rafta kya jalwa-e-janan hum ko Jis tabassum ne gulistan pe girayi bijli Phir dikha de woh ada-e-gul-e-khandan hum ko Kaash aawiza-e-qandeel-e-madina ho woh dil Jis ki sozish ne kiya rashk-e-chiraghan hum ko Arsh jis khoobi-e-raftar ka paamal hua Do qadam chal ke dikha sarv-e-kharaman hum ko Shama-e-Taiba se main parwana rahoon kab tak door Haan jala de sharar-e-aatish-e-pinhaan hum ko Khauf hai sam-e-kharashi sag-e-Taiba ka Warna kya yaad nahin nala-o-afghan hum ko Khaak ho jayen dar-e-paak pe hasrat mit jaye Ya Ilahi na phira be-sar-o-samaan hum ko Khaar-e-sahra-e-Madina na nikal jaye kahin Wehshat-e-dil na phira koh-o-bayaban hum ko Tung aaye hain do aalam teri betabi se Chain lene de tap-e-seena-e-sozan hum ko Paon ghirbal huye raah-e-Madina na mili e Junoon! ab to mile rukhsat-e-zindan hum ko Mere har zakhm-e-jigar se yeh nikalti hai sada e Maleeh-e-Arabi! kar de namakdan hum ko Sair-e-gulshan se aseeran-e-qafas ko kya kaam Na de takleef-e-chaman bulbul-e-bustan hum ko Jab se aankhon mein samayi hai Madina ki bahaar Nazar aate hain khazan deedah gulistan hum ko Gar lab-e-paak se iqrar-e-shafa'at ho jaye Yun na be-chain rakhe joshish-e-isyan hum ko Naiyir-e-hashr ne ik aag laga rakhi hai Tez hai dhoop mile saya-e-daman hum ko Reham farmayiye ya Shah ke ab taab nahin Ta-ba-ke khoon rulaye gham-e-hijran hum ko Chaak daman mein na thak jayiye e dast-e-junoon Purze karna hai abhi jaib-o-gareban hum ko Parda us chehra-e-anwar se utha kar ik baar Apna aaina bana e mah-e-taban hum ko e Raza wasf-e-rukh-e-paak sunane ke liye Nazr dete hain chaman, murgh-e-ghazal khwan hum ko