Wah kya jood-o-karam hai shah-e-bat-ha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera
Dhare chalte hain ata ke woh hai qatra tera
Tare khulte hain sakha ke woh hai zarra tera
Faiz hai ya shah-e-tasneem zalala tera
Aap piyason ke tajassus mein hai darya tera
Aghniya palte hain dar se woh hai bada tera
Asfiya chalte hain sar se woh hai rasta tera
Farsh wale teri shaukat ka ulu kya janen
Khusraw-e-arsh pe udta hai phariya tera
Aasman khwan, zameen khwan, zamana mehman
Sahib-e-khana laqab kis ka hai tera tera
Main to malik hi kahunga ke ho malik ke habib
Yaani mehboob-o-muhib mein nahin mera tera
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazron pe chadhe dekh ke talwa tera
Bahr-e-sail ka hoon sail na kuen ka piyasa
Khud bujha jaye kaleja mera chheenta tera
Chor hakim se chhupa karte hain yaan is ke khilaf
Daman mein chhupe chor anokha tera
Aankhein thandi hon jigar taze hon janen sairab
Sachche suraj woh dil ara hai ujala tera
Dil abs khauf se patta sa uda jata hai
Palla halka sahi bhari hai bharosa tera
Ek mein kya mare isyan ki haqeeqat kitni
Mujh se sau lakh ko kafi hai ishara tera
Muft pala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab amal poochte hain haye nikamma tera
Tere tukdon se pale ghair ki thokar pe na daal
Chhidkiyan khayen kahan chhod ke sadqa tera
Khwar-o-bimar-o-khata war-o-gunahgar hoon main
Rafi-o-nafi-o-shafi laqab aaqa tera
Meri taqdeer buri ho to bhali kar de hai
Mahw-o-isbat ke daftar pe karoda tera
Tu jo chahe to abhi mail mare dil ke dhalein
Ke khuda dil nahin karta kabhi mela tera
Kis ka munh take kahan jaye kis se kahiye
Tere hi qadmon pe mit jaye yeh pala tera
Tu ne islam diya tu ne jamaat mein liya
Tu kareem ab koi phirta hai atiya tera
Maut sunta hoon sitam talkh hai zahra na naab
Kaun la de mujhe talu ka ghasala tera
Door kya janiye badkar pe kaisi guzre
Tere hi dar pe mare bekas-o-tanha tera
Tere sadqe mujhe ek boond bahut hai teri
Jis din achhon ko mile jaam chhalkata tera
Haram-o-taiba-o-baghdad jidhar kije nigah
Jot padti hai teri noor hai chhhanta tera
Teri sarkar mein lata hai raza us ko shafi
Jo mera ghaus hai aur ladla beta tera
Wah kya jood-o-karam hai shah-e-bat-ha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera
Dhare chalte hain ata ke woh hai qatra tera
Tare khulte hain sakha ke woh hai zarra tera
Faiz hai ya shah-e-tasneem zalala tera
Aap pyason ke tajassus mein hai darya tera
Aghniya palte hain dar se woh hai bara tera
Asfiya chalte hain sar se woh hai rasta tera
Farsh wale teri shaukat ka ulu kya janein
Khosro-e-arsh pe urta hai pharera tera
Asman khwan zameen khwan zamana mehman
Sahib-e-khana laqab kis ka hai tera tera
Main to malik hi kahun ga ke ho malik ke habib
Yaani mehboob-o-muhib mein nahin mera tera
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazron pe charhe dekh ke talwa tera
Bahr-e-sail ka hun sail na kunwein ka pyasa
Khud bujha jaye kaleja mera chheenta tera
Chor hakim se chhupa karte hain yan us ke khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha tera
Ankhein thandi hon jigar taze hon janein sairab
Sache suraj woh dil-ara hai ujala tera
Dil abas khauf se patta sa ura jata hai
Palla halka sahi bhari hai bharosa tera
Ek mein kya mare isyan ki haqeeqat kitni
Mujh se sau lakh ko kafi hai ishara tera
Muft pala tha kabhi kaam ki aadat na pari
Ab amal poochte hain haye nikamma tera
Tere tukron se pale ghair ki thokar pe na daal
Jhirkiyan khayein kahan chhor ke sadqa tera
Khwar-o-beemar-o-khatawar-o-gunahgar hun main
Rafe-o-nafe-o-shafe laqab aqa tera
Meri taqdeer buri ho to bhali kar de hai
Mehw-o-isbat ke daftar pe karora tera
Tu jo chahe to abhi mail mare dil ke dhulein
Ke khuda dil nahin karta kabhi mela tera
Kis ka munh takiye kahan jaye kis se kahiye
Tere hi qadmon pe mit jaye ye pala tera