Data mera sawal suno mujh ko bheek do
Mangta tumhara tum ko tumhein se hai mangta
Aaya hai door se yehi sunta hua faqeer
Bada baithe ga Hazrat-e-Noori ke noor ka
Mujh sa koi saqeem na tum sa koi kareem
Meri talab talab hai tumhari ata ata
Lillahi nigah-e-mehr ho mujh teera bakht par
Aankhon ko noor dil ko inayat karo jala
Darain mein ulu-e-maratib karo ata
Tum mazhar-e-Ali ho Ali mazhar-e-ala
Khush bash ae Hasan tere dushman malool hon
Jis ka gada hai tu woh hai ghamkhwar-e-be-nawa
Tareekh ab wisal-e-muqaddas ki arz kar
Hasil ho poore she'r se khatir ka mudda'a
Woh Sayyid-e-Wala gaye jab bazm-e-quds mein
Achhe Miyan ne uth ke gale se lagaliya
1322 AH
Shukr-e-Khaliq kis tarah se ho ada
Ek zaban aur ne'matein be-intiha
Phir zaban bhi kis ki mujh na-cheez ki
Woh bhi kaisi jis ko isyan ka maza
Ae Khuda kyunkar likhoon teri sifat
Ae Khuda kyunkar kahoon teri sana
Gin'ne wale ginti'yan mehdood hain
Tere altaaf-o-karam be-intiha
Sab se barh kar fazl tera ae Kareem
Hai wujood-e-aqdas-e-Khair-ul-Wara
Har karam ki wajah yeh fazl-e-azeem
Sadqa hain sab ne'matein us fazl ka
Fazl aur phir woh bhi aisa shandar
Jis pe sab afzaal ka hai khatima
Awliya us ke karam se khaas-e-Haq
Anbiya us ki ata se anbiya
Khud karam bhi khud karam ki wajah bhi
Khud ata khud ba'is-e-jood-o-ata
Is karam par is ata-o-jood par
Ek meri jaan kya aalam fida
Kar de ek nam se jahan sairab-e-faiz
Josh zan chashma karam ke meem ka
Jan-e-kehna mubtazal tashbih hai
Allah Allah us ke daaman ki hawa
Jaan di murdon ko Isa ne agar
Us ne khud Isa ko zinda kar diya
Be-sabab us ki atayen be-shumar
Be-garz us ke karam be-intiha
Badshah ho ya gada ho koi
Sab ko us sarkar se sadqa mila
Sab ne us dar se muradein payi hain
Aur usi dar se milengi da'iman
Jood-e-darya ke sadqa se barhay
Barhte badal ko ghata kehna khata
Man ra'ani wale rukh ne bhik di
Kyun na gulshan ki sifat ho dilkusha
Jalwa-e-paye munawwar ke nisar
Meher-o-meh ko kitna uncha kar diya
Apne bandon ko Khudaye Pak ne
Us ke sadqe mein diya jo kuch diya
Mustafa ka fazl hai masroor hain
Ne'mat-e-taza se Abdul Mustafa
Aalim-e-deen muqtada-e-ahl-e-haq
Sunniyon ke peshwa Ahmed Raza
Fazl-e-Haq se hain faqir-e-Qadri
Is faqiri ne unhein sab kuch diya
Lakht-e-dil Hamid Miyan ko shukr hai
Haq ne beta bakhsha jeeta jaagta
Main dua karta hoon ab Allah se
Aur dua bhi woh jo hai dil ki dua
Wasta deta hoon main tera tujhe
Ae Khuda az fazl tu haajat rawa
Afiyat se Qibla-o-Kaaba rahein
Hum ghulamon ke saron par da'iman
Daulat-e-konain se hoon behra-war
Akh-ul-A'zam Mustafa Hamid Raza
Ne'mat-e-taza ko de woh ne'matein
Kein jo tu ne khaas bandon ko ata
Dost un sab ke rahein abad-o-shad
Dushman-e-badkhwah gham mein mubtala
Afreen tab'e-rawan ko ae Hassan
Qita' likhna tha qasida ho gaya
Sun-e-wiladat ke du'aiya likho
Ilm-o-umr-e-iqbal-o-tali' de Khuda
1325 AH