Zia Peer-o-Murshid mere rehnuma hain sarwar-e-dil-o-jaan mere dilruba hain
Kali hain gulistan-e-Ghous-ul-Wara ki yeh bagh-e-Raza ke gul-e-khushnuma hain
Shariat-e-tariqat ho ya marifat ho yeh haq hai haqeeqat mein haq aashna hain
Sahara hain be-kas ka, dukhiyon ke wali sakha ke hain makhzan toh kaan-e-ata hain
Khuda ki mohabbat se sarshar hain woh dil-o-jaan se Mustafa par fida hain
Mila sabz gumbad ka qismat se saaya diyar-e-Muhammad mein jalwa numa hain
Bula lo mujhe apne qadmon mein ab toh yeh ayaam-e-furqat bade jaanfaza hain
Mujhe ruye ziba zara phir dikha do ziyarat ke lamhe bade jaanfaza hain
Tasawwur jamaun toh maujood paun karoon band aankhein toh jalwa numa hain
Na kyun Ahl-e-Sunnat karein naaz un par ke woh naib-e-Ghous-o-Ahmed Raza hain
Munawwar karein qalb-e-Attar ko bhi
Shah-e-aap deen-e-mubeen ki ziya hain