Aah! har lamha gunah ki kasrat aur bharmar hai
Ghalba-e-shaitan hai aur nafs-e-bad-atwar hai
Mujrimon ke waste dozakh bhi shola-bar hai
Har gunah qasdan kiya hai iska bhi iqrar hai
Haaye! nafarmaniyan badkariyan bebakiyan
Aah! naame mein gunahon ki bari bharmar hai
Chup ke logon se gunahon ka raha hai silsila
Tere aage ya khuda har jurm ka izhar hai
Zindagi ki sham dhalti ja rahi hai haaye nafs!
Garm roz-o-shab gunahon ka hi bas bazaar hai
Ya khuda! rahmat teri haavi hai tere qahr par
Fazl-o-rahmat ke sahare ji raha badkar hai