(Yeh nazm dawat-e-islami ke sunnaton ki tarbiyat ke madani qafilay ki wapsi ka waqt qareeb aanay par sunnaton ki tarap rakhnay walay hassas aashiqan-e-rasool ke walwala angaiz jazbaat ki akkaas hai)
Aah! Madani qafila ab ja raha hai laut kar
Koi dil thaamey khara hai koi hai ba-chashm-e-tar
Sunnaton ki tarbiyat ke qafilon ke qadar daan
Jab palatay hain gharon ko rotay hain woh phoot kar
Kis qadar khush thay nikal kar chal diye thay ghar se jab
Ab udasi chha rahi hai haye! Apnay qalb par
Fikr thi ghar ki na koi fikr-e-karobar ki
Lutf khoob aata tha hum ko masjidon mein baith kar
Jaatay hi dunya ke jhagray phir galay par jayen ge
Kya karein lachar hain halaat par
Ba-jamaat sab namazein aur tahajjud ke mazay
Itni aasani se phir mil jayen ge kya ja ke ghar?
Ya khuda! Nikloon mein madani qafilon ke sath kaash!
Sunnaton ki tarbiyat ke wastay phir jald tar!!
Haye! Sara waqt mera ghafalton mein kat gaya
Aah! Kab ho ga mayassar phir mubarak yeh safar
Deeni mahol aur madani qafilay walon ki kuch
Bhi na ki hai qadar haye! Hoon mein nadan kis qadar
Masjidon ka kuch adab haye! Na mujh se ho saka
Az tufail-e-Mustafa farma ilahi darguzar
Aah! Shaitan har ghari har waqt ghalib hi raha
Aadat-e-isyan ne rakh di tor kar haye! Kamar
Khoob khidmat sunnaton ki hum sada kartay rahein
Deeni mahol ae khuda hum se na chootay umar bhar
Is ilaqay walay saray bhaiyon ka shukriya
Saath jo detay rahein hain qafilay ka sar-ba-sar
Sunnaton ki tarbiyat ke wastay nikla tha mein
Haye par sota raha ghaflat ki chadar taan kar
Ya Rasool Allah apnay dar pe ab bulwaiye
Ho naseeb Aaqa hamein meethey madiney ka safar
Hai dua Attar ki: 'Is ki ho hatmi maghfirat'
Qafilon mein umar bhar karta rahay jo bhi safar