Aah! Ramadan ab ja raha hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Tukre tukre mera dil huwa hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Dekh kar chand mein ro para tha samne hijr ka gham khara tha
Jald rukhsat ka waqt aa gaya hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Ashk aankhon se ab beh rahe hain hijr ka gham jo hum seh rahe hain
Woh dil-e-ghamzada janta hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Gham-e-judai ka kaise sahoon ga kis se gham ka fasana kahoon ga
Aankh pur-nam hai dil ro raha hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Jaan fida tujh pe Nana-e-Husain qalb hai ghamzada aur be-chain
Dil pe sadma barha ja raha hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Kar ke taqseem bakhshish ki asnad aah! ranjeeda dil kar ke tu shad
Sab ko rota huwa chorta hai haye tarpa ke Ramzan chala hai
Tu yeh karna Khuda se sifarish is gunahgar ki kar de bakhshish
Tujh se Attar ki iltija hai haye tarpa ke Ramzan chala hai