Aaj Taiba ka hai safar Aqa
De do toshe mein chashm-e-tar Aqa
Ghamzada hoon mein kis qadar Aqa
Tum ko meri hai sab khabar Aqa
Mujh ko bimariyon ne ghera hai
Aap hain mere chara-gar Aqa
Chand ashkon ke maswa palle
Kuch nahin tosha-e-safar Aqa
Taj-e-shahi ka mein nahin talib
Kar do rehmat ki ek nazar Aqa
Teri ulfat ka mein bhikari hoon
Mera kashkol jaye bhar Aqa
Qalb-e-muztar do chashm-e-tar do aur
Chaak seena tapan jigar Aqa
'Chal Madina' ka woh bhi muzda
Jin ke palle nahin hai zar Aqa
Kya amame ki ho bayan azmat
Tere nala'in taj-e-sar Aqa
Tere hote hue bhala kyun ho
Waar-e-dushman ka kargar Aqa
Is tarah se chhupa lo daaman mein
Na adu ki pade nazar Aqa
Mo'tarif hoon gunah karne mein
Koi chhodi nahin kasar Aqa
Phans gaya hoon gunah ki daldal mein
Ho karam Shah-e-Bahr-o-Bar Aaqa
Main gunahgar hoon magar qurban
Teri rehmat ki hai nazar Aaqa
Wasta mere Ghous-e-Azam ka
Har khata kar do darkuzar Aaqa
Tum usay bhi galay lagatay ho
Jis ko dhutkaray har bashar Aaqa
Main jahannam mein gir gaya hota
Na bachatay mujhay agar Aaqa
Kaash! neechi nazar rahay, be-kaar
Main na dekhun idhar udhar Aaqa
Jaan chhootay fazool baton say
Az paye Hazrat-e-Umar Aaqa
Maula Mushkilkusha kay sadqay mein
Istiqamat do deen par Aaqa
Az paye Murshidi Ziauddin
Meray dil mein banao ghar Aaqa
Kaash! is shaan say yeh dam niklay
Teri dehleez par ho sar Aaqa
Izn-e-Deedar-e-Baqee-e-Gharqad ka
Teray jalwon mein jaoon mar, Aaqa
Kya banay ga bajaye Taiba kay
Sindh mein mar gaya agar Aaqa
Maut Attar ko Madinay mein
Aaye ab to na jaye ghar Aaqa