Aala Se Aala Rif'at Wale
Written by Mustafa Raza Khan Qadri
Aala Se Aala Rif'at Wale, Bala Se Bala Azmat Wale
Sab Se Bartar Izzat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Sab Se Zaid Hurmat Wale, Sab Se Barh Kar Himmat Wale
Sab Se Bartar Qudrat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Jah-o-Jalal-o-Wajahat Wale, Quwwat-o-Satwat-o-Saulat Wale
Shan-o-Shaukat Hashmat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Mah-e-Lahoot Khalwat, Tum Ho Shah-e-Nasoot Jalwat
Tum Ho Jam'iyat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Jauhar-e-Fard-e-Izzat, Tum Ho Jism-o-Jaan-o-Wajahat
Tum Ho Taj-e-Rif'at Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Aab-e-Ain-e-Rahmat, Tum Ho Taab-e-Mah-e-Wahdat
Ae Chamkili Rangat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Nahar-e-Bahr-e-Wahdat, Tum Ho Pyaare Manba-e-Kasrat
Wahdat Wale Kasrat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Maalik-e-Kul Ke Tum Ho Naib, Sab Hai Tumhara Haazir Ghaib
Tum Ho Shuhood-o-Ghaibat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Saya-e-Rab-e-Izzat, Tum Ho Maaya-e-Khalq-o-Khilqat
Donon Jahan Ki Zeenat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Sahab-e-Izz-o-Karamat, Tum Ho La'al-e-Nageen-e-Karamat
Tum Ho Nihayat-e-Rahmat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Auha Ilaikallahu Ma Auha, Man Ya'lamuha Illa Anta
Maula Sirr-e-Qudrat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Chehra Matla-e-Noor-e-Ilahi, Seena Makhzan-e-Raaz-e-Khudai
Sharh-e-Sadr-e-Sadarat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Tum Ho Hamare Hum Hain Tumhare, Rab Ke Pyaare Raaj Dulare
Izzat Wale Azmat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Ham Hain Baithe Tere Daware, Apni Apni Jholi Pasare
Data Pyaare Daulat Wale, Sallallahu Sallallah
Sallallahu Alaika Wasallam, Sallallahu Sallallah
Har illat ke tum ho daafe har mushkil ke tum ho raafe
Sehat wale qudrat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Har kurbat ke tum ho daafe har bimari ke tum ho naafe
Ae sarmaya rahat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Band-e-alam aur bande tumhare aao aao pyare pyare
Raaft wale rehmat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Khaak-e-qadam ki yaad-e-qasam ki yeh hai izzat aap ke dum ki
Arsh se aazam turbat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Sidra tumhara arsh tumhara kursi tumhari farsh tumhara
Maalik-e-dozakh-o-jannat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Rabb ne tum ko sair karayi apni khudai tum ko dikhayi
Aisi achhi basarat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Arsh-e-khuda tak kis ki rasayi daulat-e-ruyat kis ne payi
Aisi daulat-o-rifat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Paya tum ne rutba uliya Qaba Qausaini Au Adna
Haq se aisi qurbat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Ghaib kaise na hota hazir jab hai batin khud hi zahir
Ilm-e-ghaib-o-shahadat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Tum ho shama-e-ilm-o-hikmat tum ho zau-e-noor-e-hidayat
Ae noorani talat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Tum ho baagh-e-bahaar-o-rehmat dil hai ghuncha raaz-e-wahdat
Bhini bhini nikhat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Mauj-e-awwal bahr-e-rehmat josh-e-aakhir bahr-e-raafat
Faiz-o-jood-o-sakhawat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Tum ho wajah-e-khilqat tum ho sirr-e-ghaib-o-shahadat
Raaz-e-wahdat-o-kasrat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Tum ho fath-e-baab-e-nabuwat tum se khatm-e-daur-e-risalat
In ki pichhli fazilat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Tum ho haq ke woh hai tumhara sab hai tumhara jo hai is ka
Haq se aisi ulfat wale Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika Wasallam Sallallahu Sallallahu
Sarwar-o-Aqa Malik-o-Maula, dono jag ke tum ho data
Rehmat wale, rafat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Sare rasoolon se tum bartar, tum sare nabiyon ke sarwar
Sab se behtar ummat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Kaun hai mehboobon mein tum sa, koi nahi hai hasha kalla
Pyari pyari surat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Haq ne hai tum ko kiya, be-misl-o-nazeer-o-be-hamta
Achhi achhi seerat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Dono jahan ke sarwar tum ho, deen-e-haq ke rehbar tum ho
Shama-e-bazm-e-hidayat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Arsh ki zeenat tum hi se hai, farsh ki nuzhat tum hi se hai
Husn-o-latafat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Mah ko tum ne tukre kiya hai, suraj tum ne lautaya hai
Zor-e-dast-e-qudrat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Naafi-e-illat, daafi-e-kurbat, tum ho kahf-e-roz-e-museebat
Rab se izn-e-shafa'at wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Koi nahi hai aisa Aqa, parda dhaanpe jo tangon ka
Sharm-o-haya-o-ghairat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu
Lillahi khabar lo Noori ki, achhi surat ho Noori ki
Chand se achhi surat wale, Sallallahu Sallallahu
Sallallahu Alaika wa Sallam, Sallallahu Sallallahu