Aankhein ro ro ke sajaane waale
Jaane waale nahi aane waale
Koi din mein yeh sara ujar hai
Are o chhaoni chhaane waale
Zibah hote hain watan se bichhray
Des kyun gaate hain gaane waale
Are bad faal buri hoti hai
Des ka jangla sunaane waale
Sun lein a'ada main bigadne ka nahi
Woh salaamat hain banaane waale
Aankhein kuch kehti hain tujh se paighaam
O dare yaar ke jaane waale
Phir na karwat li Madina ki taraf
Are chal jhootay bahaane waale
Nafs mein khaak hua to na mita
Hai meri jaan ke khaane waale
Jeetay kya dekh ke hain ae hooro
Taiba se khuld mein aane waale
Neem jalway mein do aalam gulzaar
Wah wah rang jamaane waale
Husn tera sa na dekha na suna
Kehte hain aglay zamaane waale
Wahi dhoom unki hai Ma Sha Allah
Mit gaye aap mitaane waale
Labe seeraab ka sadqa paani
Ae lagi dil ki bujhaane waale
Saath le lo mujhe main mujrim hoon
Raah mein pade hain thaane waale
Ho gaya dhak se kaleja mera
Haaye rukhsat ki sunaane waale
Khalq to kya ke hain Khaaliq ko azeez
Kuch ajab bhaatay hain bhaane waale
Kushtae dasht-e-haram jannat ki
Khidkiyan apne sarhaane waale
Kyun Raza aaj gali suni hai
Uth meray dhoom machaane waale