Aap aqaon ke aqa aap hain Shah-e-Anaam
Ya RasoolAllah main hoon aap ka adna ghulam
Baat ki himmat nahi padti adab ka hai maqam
Dil ijazat hi nahi deta karoon kaise kalam
Soz-e-sarkar ae Khudaye Paak tu kar de ata
Ishq-e-sarwar mein tadapta hi rahoon Maula mudam
Ya Ilahi! mujh ko deewana Madine ka bana
Kash! ho zikr-e-Madina mere lab par subah-o-shaam
Talmiyon mein khush rahoon aur lizzaton se be-niyaz
Kash! qabu mein rahe ye mera nafs-e-bad-lagam
Jo tadapte hain Madine ki judai mein shaha!
Un ghareebon ka bhi kar do Ya Nabi kuch intezam
Ab toh deed-o-tam Madine mein shahadat ka sharaf
Ya Nabi! kar do ye poori arzoo-e-natamam
Hashr ki garmi bala ki pyas se hoon neem jaan
Saqiya! lillah Kausar ka chhalkta ek jaam
Ya Ilahi! falto baton ki aadat door ho
Kash! lab par koi bhi jaari na ho beja kalam
Har ghadi sharm-o-haya se bas rahe neechi nazar
Paikar-e-sharm-o-haya ban kar rahoon Aqa mudam
Ae Khudaye Mustafa Attar ko woh aankh de
Ho gham-e-mehboob mein aansu bahana jis ka kaam