Aap ka naam sunte hi Sarkar kash, dil machalne lage jaan ho be-qarar
Mera seena madina bana dijiye, qalb ki ho madina madina pukaar
Gir parun un ke qadmon mein rote hue, aasiyon par bhi un ko to aata hai pyaar
Ab to aajaiye mujh ko chhurwaiye, har taraf se gunahon ka hun main shikaar
Mere Aaqa! barhane chale aaye, jaan balab kab talak ab kare intezar
Meri aamad ho Taiba mein aye kash yun, chaak seena ho daaman bhi ho taar taar
Bhaiyo, behno apnao tum sunnatain, khush ho Rabb tum se raazi Shah-e-Namdaar
Maut badkar ko aaye Taiba mein phir, Baqi-e-Mubarak mein is ka mazar
Ya Khuda be-sabab bakhsh Attar ko, is ko jannat mein deed-e-Nabi ka bhuwar