Aap Ki Nisbat Ae Nanaye Hussain
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Aap ki nisbat ae Nanaye Hussain
Hai bari daulat ae Nanaye Hussain
Door kar furqat ae Nanaye Hussain
Apni de qurbat ae Nanaye Hussain
Mar ke bhi nikle na mere qalb se
Aap ki ulfat ae Nanaye Hussain
Ghar chhute ya sar kate par na ho
Deen ki daulat ae Nanaye Hussain
Hoon gunahon ka mareez-e-daimi
Door ho shamat ae Nanaye Hussain
Wasta Ghous-o-Raza ka door ho
Har buri khislat ae Nanaye Hussain
Gham tumhara chain lene hi na de
Deed yeh rahat ae Nanaye Hussain
Ab Madine mein bula kar door kar
Yeh gham-e-furqat ae Nanaye Hussain
Sabz gumbad ki baharein dekh loon
Aaye woh sa'at ae Nanaye Hussain
Maut sar par aa gayi kar do ata
Deed ka sharbat ae Nanaye Hussain
Apne jalwon se ata farmayiye
Naz'a mein rahat ae Nanaye Hussain
Do Baqi-e-Pak mein do gaz zameen
Tum paye turbat ae Nanaye Hussain
Az tufail-e-Ghous-e-Azam door ho
Qabr ki wehshat ae Nanaye Hussain
Naar-e-dozakh se bacha kar Ya Nabi!
Dijye jannat ae Nanaye Hussain
Hazrat-e-Shabeer-o-Shabbar ke tufail
Taal do aafat ae Nanaye Hussain
Aal se as'hab se qaim rahe
Ta-abad nisbat ae Nanaye Hussain
Peer-o-murshid par mere maa baap par, ho sada rehmat aye Nana-e-Hussain
Har taraf 'Neki ki dawat' aam ho, nek ho ummat aye Nana-e-Hussain
Sunnaton ki har taraf aaye bahaar, nek ho ummat aye Nana-e-Hussain
Khoob madani qafilon ki dhoom ho, nek ho ummat aye Nana-e-Hussain
'Madani inamaat' ki ho rail peel, nek ho ummat aye Nana-e-Hussain
Nekiyon mein dil lage har dam, bana aamil-e-sunnat aye Nana-e-Hussain
Main gunahon se sada bachta rahoon, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Jhoot se bughz-o-hasad se hum bachein, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Badgumani, badnigahi se bachein, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Dejiye qufl-e-madina dejiye, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Daulat-e-ikhlaas hum ko dejiye, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Kijiye hajj ka sharaf mujh ko ata, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Phir tawaf-e-khana-e-kaba karoon, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Main madine ka musafir ab banoon, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Chal Madina' ki basharat dejiye, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Apna gham aur chashm-e-nam de dejiye, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Ishq mein aahein bharoon, rota rahoon, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Ya Rasool Allah unzur halana', kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Ya Habib Allah isma' qalana', kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Innani fi bahr-e-hammin mughriqun', kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Khuz yadi sahhil lana ashqalana', kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Istaqamat dijiye Islam par, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Dil se duniya ki hawas sab door ho, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Naz'a, qabr-o-hashr, meezan har jagah, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Aib khul jayen na mehshar mein kahin, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Az tufail-e-chaar yaar-e-ba-safa, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Sadqa shehzadon ka Aaqa kijiye, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Sab sahaba ka waseela sayyida, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Ghaus-o-Khwaja aur Raza ka wasta, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Murshidi Qutb-e-Madina ke tufail, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
'Dawat-e-Islami' walon par sada, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain
Har wali ka wasta Attar par, kijiye rehmat aye Nana-e-Hussain