Aasiyon ko dar tumhara mil gaya
Be-thikanon ko thikana mil gaya
Fazl-e-Rabb se phir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuch jo Taiba mil gaya
Kashf-e-raaz-e-man ra'ani yun hua
Tum mile to Haq Ta'ala mil gaya
Bekhudi hai ba'is-e-kashf-e-hijab
Mil gaya milne ka rasta mil gaya
Un ke dar ne sab se mustaghni kiya
Be-talab be-khwahish itna mil gaya
Nakhuda'i ke liye aaye Huzoor
Doobte niklo sahara mil gaya
Donon aalam se mujhe kyon kho diya
Nafs-e-khud matlab tujhe kya mil gaya
Aankhein pur-nam ho gayin sar jhuk gaya
Jab tera naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
Khuld kaisa kya chaman kis ka watan
Mujh ko sehra-e-Madina mil gaya
Hai mohabbat kis qadar naam-e-Khuda
Naam-e-Haq se naam-e-wala mil gaya
Un ke talib ne jo chaha pa liya
Un ke sa'il ne jo maanga mil gaya
Tere dar ke tukre hain aur main ghareeb
Mujh ko rozi ka thikana mil gaya
Ae Hasan firdous mein jaein janaab
Ham ko sehra-e-Madina mil gaya
Dar-o-deewar roshan ho jaate
Jab Rehmat-e-Aalam, Noor-e-Mujassam Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam muskurate to
Aap ke dandan-e-mubarak ke noor se dar-o-deewar roshan ho jaate.
(Ash-Shifa, p. 61, Markaz-e-Ahle Sunnat Barkaat-e-Raza, Hind)