Ae Bayaban-e-Arab teri baharon ko salaam
Tere phoolon ko tere pakeeza kharon ko salaam
Jabal-e-Noor-o-Jabal-e-Thaur aur un ke gharon ko salaam
Noor barsate paharon ki qataron ko salaam
Jhoomte hain muskuraate hain Mughailan-e-Arab
Khoob surat wadiyon ko regzaron ko salaam
Raat din rehmat barasti hai jahan par jhoom kar
Un tawaf-e-Kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
Ishq mein deewar-e-Kaaba se jo lipte hain wahan
Un sabhi deewanon sare be-qararon ko salaam
Hajar-e-Aswad, Baab-o-Meezan-o-Maqam-o-Multazim
Aur ghilaf-e-Kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
Mustajar-o-Mustajab-o-Bir-e-Zam Zam aur Mataaf
Aur Hateem-e-Pak ke dono kinaron ko salaam
Rukn-e-Shami-o-Iraqi-o-Yamani ko bhi aur
Jagmagaate noor barsate minaron ko salaam
Jo musalman khana-e-Kaaba ka karte hain tawaf
Un ko bhi aur sare hi sajda guzaron ko salaam
Khoob choome hain qadam Thaur-o-Hira ne Shah ke
Mehke mehke pyare dono gharon ko salaam
Madni munton ka bhi hamla khoob tha bojh-al par
Badr ke un dono nanhe jaan nisaron ko salaam
Jagmagaate Gumbad-e-Khizra pe ho rehmat mudam
Masjid-e-Nabvi ke noorani minaron ko salaam
Mimbar-o-Mehrab-e-Janan aur sunheri jaliyan
Sabz Gumbad ke makeen ko dono pyaron ko salaam
Syedi Hamza ko aur jumla shaheedan-e-Uhud
Ko bhi aur sab ghaziyon ko shahsawaron ko salaam
Jis qadar Jin-o-Bashar mein thay Sahaba Shah ke
Sab ko bhi beshak khusoosan chaar yaron ko salaam
Jis jagah par aake soye hain Sahaba das hazar
Us Baqi-e-Pak ke sare mazaron ko salaam
Shauq-e-deedar-e-Madina mein tarapte hain jo, un
Be-qararon, dil-fagaron, ashkbaron ko salaam
Ghusl-e-Kaaba ka bhi manzar kis qadar pur-kaif hai
Jhoom kar kehta hai Attar un nazaron ko salaam