Ae mere bhaiyo sab suno dhar ke kaan aish o ashrat ki ud jayen gi dhajjiyan
Aakhirat ki karo jald tayariyan maut aa kar rahe gi tumhen be-gumaan
Maut ka dekho ailan karta hua soye gor-e-ghariban janaza chala
Kehta hai, jaam-e-hasti ko jis ne piya woh bhi meri tarah qabr mein jaiga
Tum ae budho suno! Naujawanu suno ae zaeefo suno! Pehlwanu suno!
Maut ko har ghadi sar pe jaano suno jald tauba karo meri maano suno!
Jis ka sansar mein ho gaya hai janam Rab ki naraziyon se bache dam ba dam
Warna pachtaye ga qabr mein lajram hoga barzakh mein ranj us ko dozakh mein gham
Film beeni ka tum mashghala chhod do saare aalaat-e-lahu o la'ab tod do
Bhaiyo! Sab gunahon se munh mod do nataaye tum nekiyon hi se bas jod do
Ek din maut aa kar rahe gi zaroor is ko tum mujrimo kuch samajhna na door
Baad murdan na pao ge koi suroor aise ho jaye ga khaak sara gharoor
(Madina)
1: Qabristan 2: Zindagi ka jaam 3: Rishta 4: Maut
Kab talak tum hukumat pe itraoge, kab tak aakhir gareebon ko tarpaoge
Zalimo! Baad marne ke pachtaoge, yaad rakho! Jahannam mein tum jaoge
Qabz-e-paik-e-ajal rooh kar jayega, jism-e-bejan tarap kar thehar jayega
Qabr mein to akela utar jayega, saath tere na koi bashar jayega
Badshahon ki bikhri hui haddiyan, keh rahi hain na banna kabhi hukmran
Ehtesab iska guzre ga tum par garan, hashr mein jab ke jaoge mar mar miyan
Maut ka janwar ko ho idraak gar, gosht achha na khane ko paye bashar
Ghafil insaan se barh gaya janwar, maut se aagayi hai magar be-khabar
Choro aadat gunahon ki jao sudhar, warna phans jaoge qabr mein sar-basar
Gar azabon ko dekhoge jaoge dar, tum batao kahan jaoge bhaag kar
Jor kanen khayanat se chamkayenge! Kya unhein zar ke anbaar kaam aayenge?
Qabr-e-qahhar se kya bacha payenge? Jee nahin, naar-e-dozakh mein le jayenge
Maal-e-duniya hai dono jahan mein wabaal, aayega qabr mein saath hargiz na maal