Aflak se uncha hai aiwan-e-Muhammad ka
Makhlooq-e-Ilahi hai saman-e-Muhammad ka
Paatay hain sabhi sadqa unkay dar-e-aqdas se
Har zarra-e-alam hai mehman-e-Muhammad ka
Hoti hai har ik naimat taqseem Madine se
Konain mein jaari hai faizan-e-Muhammad ka
Detay hain malak pehra Sarkar ke rozay par
Jibreel-e-Muazzam hai darban-e-Muhammad ka
Alam hai agar sheida un par to ta'ajjub kya
Khud chahne wala hai Rehman-e-Muhammad ka
Shahan-e-jahan kyon kar rakhein na sar aankhon par
Farman-e-Ilahi hai farman-e-Muhammad ka
Hoor-o-malak-o-ghilman-o-bashar-o-haiwan
Letay hain sabhi sar par farman-e-Muhammad ka