Home/Allama Hasan Raza Khan/Ajab Karam Shah-e-Wala Karte Hain

Ajab Karam Shah-e-Wala Karte Hain

Written by Allama Hasan Raza Khan

100%
Ajab karam Shah-e-Wala karte hain Ke na-umeedon ko umeedwar karte hain Jama ke dil mein safein hasrat-o-tamanna ki Nigah-e-lutf ka hum intezar karte hain Mujhe fasurdagi-e-bakht ka alam kya ho Woh ek dam mein khizaan ko bahar karte hain Khuda sagan-e-Nabi se yeh mujh ko sunwa de Hum apne kutton mein tujh ko shumaar karte hain Malaika ko bhi hain kuch fazilein hum par Ke paas rehte hain tawaf-e-mazar karte hain Jo khush naseeb yahan khaak-e-dar pe baithte hain Juloos-e-masnad-e-shahi se aar karte hain Hamare dil ki lagi bhi wahi bujha denge Jo dam mein aag ko bagh-o-bahar karte hain Ishara kar do to baad-e-khilaf ke jhonke Abhi hamare safine ko paar karte hain Tumhare dar ke gadaon ki shaan aali hai Woh jis ko chahte hain tajdar karte hain Gada gada hai gada to kya hi chahiye adab Bare bare tere dar ka waqar karte hain Tamam khalq ko manzoor hai Raza jin ki Raza Huzoor ki woh ikhtiyar karte hain Suna ke wasf-e-rukh-e-Paak andaleeb ko hum Raheen-e-aamad-e-fasl-e-bahar karte hain Hawa khilaf ho chakraye nao kya gham hai Woh ek aan mein bere ko paar karte hain Aana liha hai woh bazaar-e-kushpursan mein Tasalli-e-dil-e-be-ikhtiyar karte hain Banayi pusht na Kaaba ki un ke ghar ki taraf Jinhein khabar hai woh aisa waqar karte hain Kabhi woh tajwaran-e-zamana kar na sakein Jo kaam aap ke khidmat-guzar karte hain Hawa-e-daman-e-jaanan ke jhonke Khizaan-raseedon ko bagh-o-bahar karte hain Sagan-e-koo-e-Nabi ke naseeb par qurbaan Pare hue sar-e-reh iftikhar karte hain Koi yeh puche mere dil se meri hasrat se Ke toote haal mein kya gham-gusar karte hain Woh un ke dar ke faqiron se kyon nahi kehte Jo shikwa-e-sitam-e-rozgar karte hain Tumhare hijr ke sadmon ki taab kis ko hai Yeh chob-e-khushk ko bhi be-qarar karte hain Kisi bala se unhein pohanche kis tarah aaseeb Jo tere naam se apna hisaar karte hain Suna na marte hue aaj tak kisi ne unhein Jo apne jaan o dil un par nisar karte hain Unhein ka jalwa sar-e-bazm dekhte hain patang Unhein ki yaad chaman mein hazar karte hain Mere kareem na aahu ko qaid dekh sake Abas aseer-e-alam intishar karte hain Jo zarre aate hain paaye huzoor ke neeche Chamak ke mehr ko woh sharmsar karte hain Jo mooye paak ko rakhte hain apni topi mein Shuja'atein woh dam-e-karzar karte hain Jidhar woh aate hain ab us mein dil hon ya raahein Mehak se gesuon ki mushk-bar karte hain Hassan ki jaan ho us wus'at-e-karam pe nisar Ke ik jahan ko umeed-war karte hain