Allah Allah Allah Allah
Saare aalam ko hai teri hi justuju
Jin-o-Ins-o-Malak ko teri aarzu
Yaad mein teri har ek hai su-ba-su
Ban mein wahshi lagate hain zarbaat-e-hu
Allah Allah Allah Allah
Naghma sanjan-e-gulshan mein charcha tera
Chupke zikr-e-haq ke hain subh-o-masa
Apni apni chehak apni apni sada
Sab ka matlab hai wahid ke wahid hai tu
Allah Allah Allah Allah
Ta'iran-e-jinan mein teri guftugu
Geet tere hi gaate hain wo khush-gulu
Koi kehta hai haq koi kehta hai hu
Aur sab kehte hain La Shareeka Lahu
Allah Allah Allah Allah
Bulbul-e-khush nawa Toti-e-khush gulu
Zamzama khwan hain gaate hain nagmaat-e-hu
Qamri-e-khush liqa boli Haq Surahu
Fakhta khush-ada ne kaha dost tu
Allah Allah Allah Allah
Subh dam kar ke shabnam se ghusl-o-wazu
Shahidan-e-chaman basta saf ru-ba-ru
Ward karte hain tasbih Subhanahu
Huwa wa la ghairuhu Huwa wa la ghairuhu
Allah Allah Allah Allah
Har nihaal-e-chaman zikr se hai nihaal
Zikr-e-haq hi use karta hai maala maal
Zikr se chook kar hota hai wo nidhaal
Zikr hi tera hai is ki wajah-e-namu
Allah Allah Allah Allah
Wo bhi tasbih se rakhta hai ishtighal
Jo nahi rakhta munh aur lisan-e-maqal
Phir bhi goyaye tasbih hai is ka haal
Is ki hali zaban kehti hai tu hi tu
Allah Allah Allah Allah
Jo hai ghafil tere zikr se Zuljalal
Is ki ghaflat hai is par wabaal-o-nakaal
Q'ar-e-ghaflat se hum ko khudaya nikaal
Hum hon zakir tere aur mazkoor tu
Allah Allah Allah Allah
Hai zaban-e-jahan hamd-e-bari mein laal
Dam koi hamd ka maare kis ki maja'al
Ta-ba-makan hum rakhte hain qeel-o-qaal
Is ko maqbool farma le rahmat se tu
Allahu Allahu Allahu Allahu
Bhar de ulfat ki mai se hamara saboo
Dil mein aankhon mein tu aur lab par ho tu
Kaif mein wajd karte phirein go ba-goo
Ward gaya karein pe-pe sau ba-soo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Afw farma khatayein meri ae afw
Shauq o taufeeq neki ka de mujh ko tu
Jaari dil kar ke har dam rahe zikr ho
Aadat-e-bad badal aur kar naik khoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Bad hoon maula mere ko kar de nakoo
Rakht-e-aamal hai chaak farma rafou
Teri rehmat ki umeed hai ae afw
Ke hai irshad-e-Quran La taqnatoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Daakhil-e-khuld hum ko jo farmaye tu
Hum hoon aur hoor o ghilman lab-e-aab-e-joo
Aur jaam-e-tahoor aur meena-e-saboo
Dekhein a’da to reh jayein pee kar lahoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Thandi thandi naseemein chalein mere Rabb
Fitno ki dhool se paak howe Arab
Aisa barsa baha de jo khashak sab
Teri rehmat ke badal gherein chaar soo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Reham farma khudaya haram paak ho
Tu ne taqdees bakshi hai jis khaak ko
Daf-e-farma wahan par hai be-baak jo
Aur gira bijliyan qahar ki bar-e-adu
Allahu Allahu Allahu Allahu
Noor ki tere hai ik jhalak khoobroo
Dekhe noori to kyun na yaad aaye tu
Un ka suroor hai mazhar tera hoo-ba-hoo
Man ra-aani ra-al haqqa moobamoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Khwab-e-Noori mein aaein jo noor-e-Khuda
Buq’a-e-noor ho apna zulmat-kada
Jag-maga uthe dil chehra ho pur-ziya
Nooriyon ki tarah shughl ho zikr ho
Allahu Allahu Allahu Allahu
La maujood illallah la mashhood illallah
La maujood illallah la mashhood illallah
La maqsood illallah la mabood illallah
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Hai maujood haqeeqi woh hai mashhood haqeeqi woh
Hai maqsood haqeeqi woh mabood-e-haq-o-haqeeqi woh
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Ho ho ho ho ho ho Allah ho Allah
Tera jalwa hai har su tu hi tu hai tu hi tu
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Haq ho haq ho haq ho haq Rabb-e-Naas o Rabb-e-Falaq
Ghair nahi tera mutlaq bhoolunga main yeh na sabaq
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Antal Hadi Antal Haq rang-e-batil is se faq
Qalb-e-mubtil sun kar shaq qalb-e-muslim ki ronaq
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Rabb-e-hasbi Jallallah ma fi qalbi illallah
Haq haq haq Allah Allah Rabb Rabb Rabb Subhanallah
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Laisa kamithlihi shai-un laisa lahu kufuwan ahad
Is se bun hai woh nahi bin Absar Isma' dekh aur sun
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Laisal Hadi illallah kehta hai yeh har bun-e-mo
Sunta hoon main az har su Laisa siwaka ya Man Hu
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Bun ko banaya hai usne bun ko jamaya hai usne
Bun ko ugaya hai usne bagh khilaya hai usne
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Allah Allah wa Rabb-e-Ahad fard-e-wa-wahid witr-o-samad
Jis ka walid hai na walad zaat o sifat mein be-had-o-ad
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Ek haqeeqi hai woh Ahad ek nahi woh jo hai adad
Pak hai woh az surat-e-wahd Kaifa yusawwar kaifa yuhad
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Mun'im o Haq o Samee o Baseer Baqi Bari Barr o Khabeer
Jame' Mani' Manar o Kabeer Rafi' Nafi' Hayy o Qadeer
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Hakam-o-Adl-o-Ali-o-Azeem
Dayyan-o-Rahman-o-Raheem
Quddus-o-Hannan-o-Haleem
Fattah-o-Mannan-o-Kareem
La ilaha illallah amanna birasulillah
Wali-e-Wali Muta'ali Hakeem
Wahhab-o-Razzaq-o-Aleem
Malik-e-Yaum-e-Deen-o-Jaheem
Malik-e-Mulk-e-Khuld-o-Na'eem
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Aziz-o-Mujeeb-e-Shakoor
Woh hai Badee-o-Qareeb-e-Saboor
Woh hai Mateen-o-Haseeb-o-Ghafoor
Woh hai Mu'een-o-Raqeeb-e-Zaroor
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Muqaddam aur Ghaffar
Woh hai Muhaimin aur Jabbar
Woh hai Mu-akhkhir aur Qahhar
Woh hai Basit aur Sattar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Noor Musawwir aur Tahir
Batin Awwal aur Aakhir
Wajid Majid aur Qadir
Mu-min Mutakabbir Qahir
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tawwab-o-Mughni Hadi
Muqsit Muhyi Mumeet Ghani
Muntaqim-o-Qayyum-o-Qawi
Muqtadir-o-Wasi-e-Muhsi
La ilaha illallah amanna birasulillah
Mubdi Jaleel-o-Hafiz-o-Majeed
Mu'ti Wakeel-o-Salam-o-Mu'eed
Woh hai Lateef-o-Wadood-o-Waheed
aur Shaheed-o-Hameed-o-Rasheed
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Jawwad Afu A'toof
Azali Abadi hai Ma'roof
Yasrif Anna Jamee Suroof
Maulal Kull-o-Huwa Ra-oof
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Muheet-e-Ins-o-Jaan
Woh hai Muheet-e-Jism-o-Jaan
Woh hai Muheet-e-Kul-e-Azaan
Woh hai Muheet-e-Kaun-o-Makaan
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Muqeet-o-Mu'izz-o-Muzill
Woh hai Hafiz-o-Naseer-e-ai dil
Baad-o-Atash-o-Aab-o-Gil
Sab ka woh hi hai Fa'il
La ilaha illallah amanna birasulillah
Maade usne paida kiye
Uske Amr-e-Kun se bane
Daur-o-Tasalsul ke jhagde
Amr-e-Haq se qat' huwe
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qabiz-o-Ba'is Khaliq hai
Khafiz-o-Waris Raziq hai
Jo hai us ka Aashiq hai
Ghair-e-Natiq Natiq hai
La ilaha illallah amanna birasulillah
Koi na us se sabiq hai koi na us se lahiq hai
Kaun sana ke laiq hai natiq ghair-e-natiq hai
La ilaha illallah amunna birasulillah
Sab hain hadis woh hai qadeem koi nahi hai us ka nadeem
Peda us ne kiye hain faheem aur usi ne banaye laeem
La ilaha illallah amunna birasulillah
Ek hi hai woh beshak ek banda us ka har bad o nek
Kafir dil mein us se atik apne dil ki hai yehi tek
La ilaha illallah amunna birasulillah
Sajhi na us ka koi shareek wahi malik hai wahi maleek
Pak makan se aur nazdeek dekhe sune pusht o bareek
La ilaha illallah amunna birasulillah
Woh hai munazzah shirkat se pak sukoon o harkat se
Kaam hain us ke hikmat se karta hai sab qudrat se
La ilaha illallah amunna birasulillah
Ek wajood-e-haqeeqi tha ghair sarasar fani hua
Haq hain nazar se jab dekha bar-mala keh uthay uqla
La ilaha illallah amunna birasulillah
Baqi wajood-e-haqeeqat tha baqi yaksar manfi hua
Keh uthay ye baaz urfa Ma fi hubbi illallah
La ilaha illallah amunna birasulillah
Har har zarra har qatra shahid hai har har lamha
Us ki qudrat o sanat ka yakta-i o wahdat ka
La ilaha illallah amunna birasulillah
Allah-e-wahid o yakta hai ek khuda bas tanha hai
Koi na us ka hamta hai ek hi sab ki sunta hai
La ilaha illallah amunna birasulillah
Ek na hota gar Allah kaise rehte arz o sama
Hota na ek muhtaj ek ka kis liye ye us se milta
La ilaha illallah amunna birasulillah
Sota peeta khata nahi us ka rishta nata nahi
Us ke pita aur mata nahi us ke joru jata nahi
La ilaha illallah amunna birasulillah
Jahl o zulm o kizb o zina khwari meikhwari sariqa
Us se mumkin jis ne kaha La-raib us ne kufr baka
La ilaha illallah amunna birasulillah
Rooh nahi hai woh na jism muqassim hai woh na qasam o qaseem
Is ke sifaat o asma qadeem yeh hai apna deen-e-qaveem
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Hai woh zaman o jihaat se paak woh hai daimeem sifaat se paak
Woh saare muhalaat se paak woh hai sab haalaat se paak
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Paak hai aibon se maula aib ko us se alaqa kya
Aib us ka saleh na hua ho mutaliq qudrat ka
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Roshan hai yeh jaise din us ka talauwwut namumkin
Waqe kehta hai momin aur phir banta hai momin
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Man asdaqu minhu qila man asdaqu minhu haditha
Kaisa kaisa rab ne kaha munkir ek nahi sunta
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Sidq-e-rab wajib hai kizb-e-muhal ae khaib hai
Jam-e-do zid kab jaiz hai aql kahan teri ghaib hai
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Us ka khaye o munkir aur ghuraye o kafir
Kaun hai deta o ghadir us ke siwa haan o fajir
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Main hoon banda woh maula kaun hai apna us ke siwa
Main hoon us ka woh hai mera jis ne banaya aur paala
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Char anasir paida kiye jo sab aapas mein zid thay
Ek girah mein kaise bandhay yakja kaise jam ho gaye
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Ankhon mein woh hai sar mein woh dil mein woh hai jigar mein woh
Sam mein woh hai basar mein woh tab mein woh hai fikr mein woh
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Noor mein woh hai nazar mein woh shams mein woh hai qamar mein woh
Abr mein woh hai gohar mein woh koh mein woh hai hajar mein woh
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Parwana mein hai par mein woh shama mein woh hai shar mein woh
Da o dawa o asar mein woh nafa mein woh hai zarar mein woh
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Tukhm mein woh hai shajar mein woh
Shakh mein woh hai samar mein woh
Maah mein woh hai badr mein woh
Bahr mein woh hai bar mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Soz mein woh hai saaz mein woh
Naaz mein woh andaaz mein woh
Husne bute tannaz mein woh
Ishq ke raaz o niaz mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tu mein woh hai man mein woh
Jaan mein woh hai tan mein woh
Abadi mein hai ban mein woh
Sar mein woh hai alan mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Juz mein woh hai kul mein woh
Rang o booye gul mein woh
Afghan-e-bulbul mein woh
Naghmate qul qul mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qurb o liqa o wasl mein woh
Bu'd o firaq o fasl mein woh
Farz mein woh hai nafl mein woh
Asl mein woh hai naql mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Fath o zam o jar mein woh
Pesh o zer o zabar mein woh
Ein o aan o digar mein woh
Is mein is mein har mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Bulbul tuti parwana
Har ik us ka deewana
Qumri kis ka mastana
Kaun chakur ka jaanana
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sham'a o gul o sar o sarrat
Hain mira'te lihaze zaat
Warna haihata o haihata
Puchta koi un ki baat
La ilaha illallah amanna birasulillah
Khud gul kuza o kuza gar
Khud kuza o khud kuza bar
Qole Rumi kar bawar
Imaan hai ae gore kar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jalwe us ke hain har ja
Zaat hai us ki jaye wara
Qudrat se woh un mein hua
Zaat mein hai woh sab se juda
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nit naye jalwe hain har aan
Kullu yaumin huwa fi shaan
Khud hi dard o khud darmaan
Khud hi dast o khud daamaan
La ilaha illallah amanna birasulillah
Har dil mein hai us ki lagan
Ankhon mein woh noore afgan
Kya sahra aur kya gulshan
Mehre wajood ki ek kiran
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sarw-o-sumbul aur saman shamshad-o-sanobar aur sawsan
Nargis nasreen sara chaman us ki sana mein naghma zan
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Maula dil ka zang chura qalb-e-noori paye jala
dil ko karde aaina jis mein chamke ye kalma
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Apne karam se Rabb-e-Kareem hum pe kiya ehsan-e-azeem
bheja hum mein bafazl-e-ameem bahr-e-karam ka dur-e-yateem
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Apne mazhar-e-awwal ko apne habeeb-e-ajmal ko
pehle nabi-e-afzal ko pichle mursal-e-akmal ko
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Woh jinhein anfus farmaya behtar bartar a'la kiya
woh rutba un ko bakhsha koi nahi jo pa sakta
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Aisi fazilatein un ko dein jin ka misl-e-imkan mein nahi
rooh-e-rawan-e-khuld-e-bareen nakhl-e-jahan ke asl-e-mateen
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Naib-e-Hazrat-e-Haq mateen shahanshah-e-charkh-o-zameen
wali-e-takht-e-arsh-e-bareen rahat-e-jaan-o-qalb-e-hazeem
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Mauj-e-awwal bahr-e-qadam mauj-e-aakhir bahr-e-karam
sab se a'la aur a'zam sab se awla aur akram
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Jin ko banaya apne liye sab ko banaya jin ke liye
kab unhein de ke un se liye par sab chhore tere liye
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Noor se apne paida kiya noor-e-habeeb-e-Rabb-e-Ula
phir us noor ko hisse kiya un se banaya jo hai bana
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Zaat-e-ka apni aaina be misl-o-nazeer-o-be hamta
khalq kiya qabl az ashya aur nabuwat kar di ata
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Jab Haq ko hua ye manzoor aalam par farmaye zuhoor
ho khud maroof-o-mazkoor jilbab-e-khafa kar de door
La ilaha illallah amunna birasoolillah
Qalib-e-Adam khalq kiya, rooh dar aaye hukm hua
Rooh dar aayi jab dekha, putlay mein hai noor-e-khuda
La ilaha illallah ammana birasulillah
Adam-o-alam paida huye, noor se saare huwayda huye
Jo jo us par shaida huye, Rabb ke wahi garweeda huye
La ilaha illallah ammana birasulillah
Lauh-e-jabeen sayyiduna, Adam mein woh noor-e-khuda
Jab taali hua toh unka, taali-e-qismat bhi chamka
La ilaha illallah ammana birasulillah
Noor-e-khuda ki barkat thi, rehne ko jannat paayi
Nudrat-e-daulat-e-ilm mili, aur Adam huye haq ke Nabi
La ilaha illallah ammana birasulillah
Haq ne ilm-e-asma diya, jo na malaik ko bakhsha
Woh malaka farmaya ata, un par un ko ghalba diya
La ilaha illallah ammana birasulillah
Adam ko sharaf aisa mila, aadmi ashraf-e-khalq hua
Un ko khalifa-e-haq ne kiya, taj-e-kalamat sar pe rakha
La ilaha illallah ammana birasulillah
Waasta yeh us noor ka tha, hazrat-e-insan qibla bana
Saare farishton ne sajda kiya, pesh-e-Safiyullah kiya
La ilaha illallah ammana birasulillah
Paak garoh-e-muqaddas ka, ek allama muallim tha
Qaum jin se tha paida, tha usay ghura-e-ibadat ka
La ilaha illallah ammana birasulillah
Jab sajda ka hukm hua, sab ne kiya us ne na kiya
Aur mutakabbir ne yeh baka, yeh mitti mein angaara
La ilaha illallah ammana birasulillah
Us ko aab-o-gil soojha, munkir ho kar shaitan bana
Jin ke sabab woh hukm hua, us ne woh noor nahi dekha
La ilaha illallah ammana birasulillah
Yaari jo noor nahi karta, dekhte kaise fauq-e-sama
Naam-e-Habib-o-naam-e-Khuda, saaq-e-arsh pe likha hua
La ilaha illallah ammana birasulillah
Josh pe aaya rehm ka dariya, jab sayyiduna Adam ne diya
Waasta us noor-e-khuda ka, maqbool hui yun tauba
La ilaha illallah ammana birasulillah
Jab Hazrat ka ji na laga tanhai se ghabra utha
Dil jami ke liye hua khalq ki be misl-o-humta
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Hawa se jab Adam ka ahd-e-mahr-e-darood hua
Adam se woh noor-e-Khuda zauja ko tafweez hua
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Peshani-e-Shees mein aaya sulbon rehamon mein hota
Peshani-e-Nooh mein aaya phir aise hi aage badha
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Hazrat Nooh-e-Najiyullah Adam-e-Sani aalam ka
Yar na gar yeh noor hota unka safeena kab tarta
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Ibrahim Khalilullah aag mein jin ko dala gaya
Unka hami noor hua naar ka buq'ah baagh bana
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Tahir sulbon mein hota paak arham mein rehta hua
Hona chaha jalwa numa batn-e-Amina mein aaya
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Amina ne yeh farmaya haml ki kulfat thi na zara
Jatna qareen az waz'a hua mein sunti zyada marhaba
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Maah-e-awwal mein Adam doosre mein Idris-e-afkham
Teesri mein Nooh-e-Akram chauthe mein Khalil-e-arham
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Paanchvi mein Ismael chhatvi mein Kaleem-e-Jaleel
Saatvi mein Dawood-e-Jameel hashtam mein Sulaiman-e-Jaleel
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Maah-e-nahum Hazrat-e-Isa aaye mujh ko muzda diya
Is maulood-e-mubarak ka aur Ruhullah ne bhi kaha
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Sun lo jab yeh noor-e-Khuda paida ho to tum iska
Naam-e-paak Ahmed rakhna sallallahu alaihi dainma
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Aur kisi ne yeh bhi kaha khwab mein mujh se Amina
Pet mein tere ummat ka sardar hai Allah Allah
La ilaha illallah amanna bi rasulillah
Pet mein thay jab yeh Sarkar us se pehle ke azkar
Khushk thay sab barg-o-ashjar sookh gaye thay ab asmar
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Be saaz-o-barg ke siwa koi phoola aur phoola na tha
Batn mein jalwa farma tha jab ke hua woh noor-e-khuda
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Qoum musaib ki thi shikar aur aafton se thi dochar
Aur zulmon ki thi bharmar ek ko ik karta nachar
La ilaha illallah amanna birasoolillah
Jaur-o-jafa tha un ka shiar niyatein rakhte thay woh khwar
(Natamam)
Amanat-e-Rasool Noori Ghafar lahu