Allah humein kar de ata qufl-e-Madina
Har ek musalman le laga qufl-e-Madina
Yarab na zaroorat ke siwa kuch kabhi boloon!
Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madina
Bak bak ki yeh aadat na sar-e-hashr phansa de
Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madina
Har lafz ka kis tarah hisab aah! main doon ga
Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madina
Aksar mere honton pe rahe zikr-e-Muhammad
Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madina
Barhta hai khamoshi se waqar ae mere pyare
Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madina
Hai dabdaba khamoshi mein haibat bhi hai pinhan
Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madina
Rakh lete thay pathar sun Abu Bakr dahan mein
Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madina
Chup rehne mein hi sukh hain toh yeh tajurba kar le
Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madina
Aqa ki haya se jhuki rehti nazar aksar
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Gar dekhe ga filmein toh qayamat mein phanse ga
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Aankhon mein sar-e-hashr na bhar jaye kahin aag
Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madina
Boloon na fuzool aur rahein neechi nigahien
Aankhon ka zabaan ka de khuda qufl-e-Madina
Aayen na mujhe waswase aur gande khayalat
De zehen ka aur dil ka khuda qufl-e-Madina
Raftar ka guftar ka kirdar ka de de
Har uzu ka de mujh ko khuda qufl-e-Madina
Dozakh ki kahan taab hai kamzor badan mein
Har uzu ka Attar laga qufl-e-Madina