Allah ki rehmat se phir azm-e-Madeena hai
Phir azm-e-Madeena hai tayyar safeena hai
Chand ashk, nadamat ke hai zaad-e-safar mera
Palay mein ibadat ka koi na khazeena hai
Go rah-e-Madeena par mein chal to para hoon par
Afsoos saleeqa hai koi na qareena hai
Sadqay mein Muhammad ke de bakhash isay Yarab
Mujrim hai jo aasi hai badkar-o-kameena hai
Ae Noor-e-Khuda aakar chamkado paye murshid
Sarkar maray dil ka be-noor nageena hai
Jismani mareezon ko Allah shifa de-day
Achha hai faqat woh jo beemar-e-Madeena hai
Tum jaante ho kya hai yeh Dawat-e-Islami
Faizan-e-Madina hai, Faizan-e-Madina hai
Sarkar ki sunnat ki tabligh kiye jao
Jaam-e-aap ke hathon se gar hashr mein peena hai
Har dam mere honton par bas zikr-e-Madina ho
Yeh meri tamanna ae Sultan-e-Madina hai
Ushaaq tadapte hain yaad-e-Sheh-e-Batha mein
Aata yeh jahan mein jab bhi Hajj ka mahina hai
Mehboob ka mastana, Sarkar ka deewana
Dil is ka Madina hai, seena bhi Madina hai
Gam meethe Madine ka ae kaash! ke mil jaye
Armaan yahi dil mein ae Shah-e-Madina hai
Tu kar de ata mujh ko roti hui aankhein aur
Gam mein tere Aaqa jo jalta hua seena hai
Afsoos marz barhta jata hai gunahon ka
De tujh se shifa arz ae Sarkar-e-Madina hai
Duniya ka gulistan kya jannat ki mehak se bhi
Khushbu mein kahin barh kar Aaqa ka paseena hai
Rota hua pahuncha tha rota hua lauta tha
Hain vasl ki do ghariyan phir hijr-e-Madina hai
Daulat ki farawani hai mangna nadani
Bas asl mein daulat to ulfat ka khazina hai
Ushaaq ki nazron mein veeran gulistan hain
Dil un ka to sheydaye sahra-e-Madina hai
Attar ko gar tu bhi thukra de kahan jaye
Tera hai yeh tera hai go laakh kamina hai