Allah! koi Hajj ka sabab ab tu bana de
Jalwa mujhe phir Gumbad-e-Khizra ka dikha de
Gham aisa Madine ka ata kar de Ilahi
Khushiyon ke gulistan ko jo mere jala de
Ya Rab! mein tere khauf se rota rahoon har dam
Deewana Shehanshah-e-Madina ka bana de
Jab Naat sunoon jhoom uthoon ishq-e-Nabi mein
Aisa mujhe mastana Muhammad ka bana de
Sadqay mein mere Ghous ke tu khwab mein Ya Rab
Jalwa mujhe Sultan-e-Madina ka dikha de
Sakrat mein gar Roo-e-Muhammad pe nazar ho
Har maut ka jhatka bhi mujhe phir tu maza de
Jab Hashr mein Aaqa nazar aayein mujhe ae kaash!
Be-sakhta qadmon mein mera shauq gira de
Uff Hashr ki garmi bhi hai aur pyaas bala ki
Ae Saqi-e-Kausar mujhe ek jaam pila de
Har waqt jahan se ke unhein dekh sakoon mein
Jannat mein mujhe aisi jagah pyare Khuda de
Allah! mujhe soz-o-gudaaz aisa ata kar
Tarpa de bayaan Naat-e-Nabi mujhko rula de
Tu peeche na hatna kabhi ae pyare muballigh!
Shaitan ke har waar ko nakam bana de
Attar hoon mein unka gada ab tu tawajo
Bas janib-e-Shahan-e-Jahan meri bula de