Amal sab se bada taat-e-Habib-e-Kibriya ki hai
Hai iman naam jis ka woh mohabbat-e-Mustafa ki hai
Tumhare dushmanon par ta-abad lanat Khuda ki hai
Jo Abd-ul-Mustafa hai uss pe rehmat Kibriya ki hai
Tere yaron ne tujh par jaan tak apni fida ki hai
Isi baa'is se shohrat char yaar-e-ba-safa ki hai
Kahin Muzammil-o-Muddathir-o-Taha kahin Yaseen
Tere Maula ne Quran mein teri kya kya sana ki hai
Zahe shaan-e-jalalat jab chale meraj ko Maula
Toh Aqsa mein rasoolon ne unhi ki iqtida ki hai
Na phera hai kabhi khali muradein di hain munh mangi
Tumhare astan par jis gada ne iltija ki hai