Aye Arab ke Tajdar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aye Rasool-e-Zi-Waqar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aaye Shah-e-Namdar, Ahlan wa sahlan marhaba
Sab pukaro baar baar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aye Habib-e-Kardgar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aye Khuda ke Shahkar, Ahlan wa sahlan marhaba
Amna ke Gul-e-Izhar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aye hamare Shehr-e-Yar, Ahlan wa sahlan marhaba
Ambiya ke Tajdar, Ahlan wa sahlan marhaba
Taiba ke Naqa-sawar, Ahlan wa sahlan marhaba
Marham-e-Qalb-e-Figar, Ahlan wa sahlan marhaba
Mera bigra dil sanwar, Ahlan wa sahlan marhaba
Izzat-e-Ruswa-zaar, Ahlan wa sahlan marhaba
Quwwat-e-zaar-o-nazar, Ahlan wa sahlan marhaba
Noor ki barsi phuwar, Ahlan wa sahlan marhaba
Aaya har shai par nikhar, Ahlan wa sahlan marhaba
Kar munawwar qalb-e-taar, Ahlan wa sahlan marhaba
Door ho dil ka ghubar, Ahlan wa sahlan marhaba
Sab se barh kar kamgar, Ahlan wa sahlan marhaba
Ba'is-e-bagh-o-bahar, Ahlan wa sahlan marhaba
Jalwa kar de aashkar, Ahlan wa sahlan marhaba
Ho fida Attar-e-zaar, Ahlan wa sahlan marhaba