Aye Kaash! Shab-e-Tanhai mein, furqat ka alam tarpata rahe
Lamha lamha ki aag ko aur bhi bharkata rahe
Be-tab jigar, qalb-e-muztar, de dijiye Sarwar! chashm-e-tar
Har waqt bharun thandi aahein, gham tera khoon rulata rahe
Be-chain rahun be-tab rahun, mein hichkiyan bandh ke rota rahun
Yeh zauq-e-junoon barhta hi rahe, har dam yeh mujh ko rulata rahe
Mein ishq mein yun gum ho jaun, hargiz na pata apna paun
Jab jab mein tarap kar gir jaun, tera dast-e-inayat uthata rahe
Jab aaun Madine rota huwa, ho samne jab roza tera
Chehre se naqab uth jaye aur tu jam-e-deed pilata rahe
Be-kas hun Shaha! mein dukhiyara, logo ne mujhe hai dhutkara
Tu hamdam hai phir kya gham hai, go sara jahan thukrata rahe