Azizon ki taraf se jab mera dil toot jaata hai
Tera lutf-o-karam barh kar meri dhaarass bandhaata hai
Nabi ke noor ka sadqa khudaya jagmaga dena
Karam! Ya Rabb! Andhera qabr ka mujh ko darata hai
Musalsal maut nazdeek aa rahi hai, haye! Barbadi
Karam! Maula! Gunahon ka marz barhta hi jaata hai
Ilahi! Wasta pyare ka, meri maghfirat farma
Azaab-e-naar se mujh ko khudaya khauf aata hai
Teri sunnat pe chalta hoon, to taane log dete hain
Shahanshah-e-Madeena! Nafs bhi be-had satata hai
Mubarak baad dete ho mujhe, hum bhaiyo hajj ki
Madeena chhorne ka gham mujhe to khaye jaata hai
Masaib mein kabhi harf-e-shikayat lab pe mat laana
Woh kar ke mubtala bandon ko apne aazmata hai
Nayi umeed milti hai, dil-e-mayoos ko phir se
Mujhe Shah-e-Madeena! Jab Madeena yaad aata hai
Mujhe lagta hai woh meetha, mujhe lagta hai woh pyara
Imama sar pe, zulfen aur daarhi jo sajata hai
Khuda thandi kare us ki aankhein hashar mein Attar
Yahan jo soz-e-ulfat mein jigar apna jalata hai
Allah azzawajal irshad farmata hai: Wa lanabluwannakum bishay'in minal khaufi wal joo'i wa naqsim minal amwaali wal anfusi was samaraat (P2, Al-Baqarah: 155)
Tarjuma Kanz-ul-Iman: Aur zaroor hum tumhein aazmayenge kuch dar aur bhook se aur kuch maalon aur jaanon aur phalon ki kami se.