Baharon par hain aaj aarayishein gulzar-e-jannat ki
Sawari aane wali hai shaheedan-e-mohabbat ki
Khule hain gul baharon par hai phulwari jarahat ki
Faza har zakhm ki daaman se wabasta hai jannat ki
Gala katwa ke bedi kaatne aaye hain ummat ki
Koi taqdeer to dekhe aseeran-e-museebat ki
Shaheed-e-naaz ki tafreeh zakhmon se na kyonkar ho
Hawa mein aati hain un khidkiyon se baagh-e-jannat ki
Karam walon ne dar khola to rehmat ne samaan bandha
Kamar bandhi to qismat khol di fazl-e-shahadat ki
Ali ke pyare khatoon-e-qayamat ke jigar paare
Zameen se aasman tak dhoom hai unki siyadat ki
Zameen-e-Karbala par aaj majma hai haseenon ka
Jahi hai anjuman roshan hain sham'ein noor-e-zulmat ki
Ye woh sham'ein nahin jo phoonk dein apne fadai ko
Ye woh sham'ein nahin ro kar jo kaatein raat aafat ki
Ye woh sham'ein hain jin se jaan-e-taaza payein parwane
Ye woh sham'ein hain jo guzarein shab-e-museebat ki
Ye woh sham'ein nahin jin se faqat ek ghar munawwar ho
Ye woh sham'ein hain jin se rooh ho kafoor-e-zulmat ki
Dil-e-hoor-o-malaik reh gaya hairat zada ho kar
Ke bazm-e-gul rukhan mein le balayein kis ki soorat ki
Juda hoti hain jaanein jism-e-jaanan se milte hain
Chuyee hai Karbala mein garm majlis wasl-o-furqat ki
Isi manzar pe har janib se lakhon ki nigahien hain
Isi aalam ko aankhein tak rahi hain saari khilqat ki
Na hotay gar Hussain ibn-e-Ali us pyaas kay bhookay
Nikal aati zameen-e-Karbala say nehar-e-Jannat ki
Magar maqsood tha pyasa gala hi un ko katwana
Keh khwahish pyaas say barhti rahay ru'iyat kay sharbat ki
Shaheed-e-naaz rakh deta hai gardan aab-e-khanjar par
Jo maujain bazu par aa jaati hain darya-e-ulfat ki
Yeh waqt-e-zakhm nikla khoon uchal kar jism-e-athar say
Keh roshan ho gayi mash'al shabistan-e-mohabbat ki
Sar-e-be-tan tan-e-aasani ko shehar-e-Taiba mein pohancha
Tan-e-be-sar ko sardari mili mulk-e-shahadat ki
Hassan Sunni hai phir ifraat-o-tafreet is say kyon kar ho
Adab kay saath rehti hai rawish arbaab-e-Sunnat ki