Bakht-e-Khufta ne mujhe roza pe jaane na diya
Chashm-o-dil seene kaleje se lagaane na diya
Aah qismat mujhe dunya ke ghamon ne roka
Haaye taqdeer ki Taiba mujhe jaane na diya
Paon thak jaate agar paon banata sar ko
Sar ke badal jaata magar zu'af ne jaane na diya
Itna kamzor kiya zu'af-e-quwa ne mujh ko
Paon to paon mujhe sar bhi uthane na diya
Sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai
Maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diya
Haal-e-dil khol ke dil aah ada kar na saka
Itna mauqa hi mujhe meri qaza ne na diya
Haaye us dil ki lagi ko main bujhaun kyonkar
Fart-e-gham ne mujhe aansu bhi girane na diya
Haath pakde hue le jaate jo Taiba mujh ko
Saath itna bhi to mere rufaqa ne na diya
Sajda karta jo mujhe uski ijazat hoti
Kya karun izn mujhe uska khuda ne na diya
Hasrat-e-sajda yunhi kuch to nikalti lekin
Sar bhi sarkar ne qadmon pe jhukane na diya
Kocha-e-dil ko basa jaati mehak se teri
Kaam itna bhi mujhe baad-e-saba ne na diya
Kabhi bimar-e-mohabbat bhi hue hain achay
Roz-e-afroz hai maraz kaam dawa ne na diya
Sharbat-e-deed ne aur aag lagadi dil mein
Tapish-e-dil ko badhaya hai bujhane na diya
Ab kahan jaayega naqsha tera mere dil se
Teh mein rakha hai ise dil ne gamane na diya
Des se unke jo ulfat hai to dil ne mere
Is liye des ka jungle bhi to gaane na diya
Des ki dhan hai wahi raag alapa usne
Nafs ne haaye khayal uska mitane na diya
Nafs-e-badkar ne dil par ye qayamat todi
Amal-e-nek kiya bhi to chupaane na diya
Nafs-e-badkesh hai kis baat ka dil pe shaki
Kya bura dil ne kiya zulm kamane na diya
Mere a'maal ka badla to jahannam hi tha
Main to jaata mujhe sarkar ne jaane na diya
Mere a'maal-e-saiyyah ne kiya jeena doobhar
Zehar khata tere irshad ne khane na diya
Aur chamakti si ghazal koi padho ae Noori
Rang apna abhi hum ne shu'ara ne na diya