Baleqeen us ko to jeenay ka qareena aa gaya
Jis ke lab par har ghari zikr-e-Madina aa gaya
Sahil-e-Jeddah pe lo apna safeena aa gaya
Jhoom jao ashiqo! meetha Madina aa gaya
Khoob machlo jhoomo aur khaak utha kar choom lo
Lo woh Makka aa gaya dekho Madina aa gaya
Gham ghalat ho jayenge bas muskura ke dekh lo
Gham ka mara dar pe ya Shah-e-Madina aa gaya
Pao mein joota aray! mehboob ka koocha hai yeh
Hosh kar to hosh kar ghafil! Madina aa gaya
Ranj-o-gham ke maron ke dil mein hook si uthne lagi
Qafle Taiba chale hajj ka mahina aa gaya
Mujh ko rota chor kar sab qafle wale chale
Laut kar mein ghamzada, Shah-e-Madina aa gaya
Mauj har bhari hui hai ab khudaya aaiye!
Gardish-e-toofan mein apna safeena aa gaya
Kis qadar hai ba-muqaddar woh musalman bhaiyo!
Khwab mein jis ko nazar Shah-e-Madina aa gaya
Ik tabassum rez honton ki jhalak dikhlaye
Jaan ba-lab ke ab to maathay par paseena aa gaya
Tal gaya mujh se azaab aur qabr roshan ho gayi
Qabr mein meri Shahanshah-e-Madina aa gaya
Shafi-e-Mehshar! meri imdad ko ab aaiye!
Hashr mein baar-e-gunah le kar kameena aa gaya
Kyun na rashk us par karein phir yeh jahan ke tajdar
Hath jis ke ishq-e-Ahmed ka khazina aa gaya
Arz ro ro kar karoon ga jab Madine jaunga
Ya Nabi dar par gunahgar-o-kameena aa gaya
Aap ke lutf-o-karam se keh uthay Attar kaash!
Dil-e-Madina ho gaya dil mein Madina aa gaya