Bulawa dobara phir ek baar aaye Madine mein Aaqa! gunahgar aaye
Mere ashk banne lagen kaash us dam nazar hoon hi Taiba ka gulzar aaye
Dil-e-muztarib ki barhe beqarari tarap kar karoon hoon hi darbar aaye
Nazar mein nahin koi jachta gulistan pasand us ko sahra-e-Sarkar aaye
Hai apni jagah husn phoolon ka lekin pasand us ko Taiba hi ka khaar aaye
Mohallat oonche nahin chahta main Madine ka qismat mein gehsar aaye
Aqeedat se sar jhuk gaya us ghari jab nazar sabz gumbad ke anwar aaye
Tere sabz gumbad pe jaye woh qurban Madine mein jo koi ek baar aaye
Tumhari shafa'at ka haqdar thehre jo darbar mein bakht-e-bedar aaye
Tere hi karam se hamara bharam hai gunahon ka sar par liye baar aaye
Ata ho sanad-e-maghfirat ki ata ho tere dar pe tere gunahgar aaye
Idhar bhi masiha nigah-e-shifa ho tere dar pe isyaan ke beemar aaye
Gunahon ki kasrat se ghabraye jab woh mehshar mein soye gunahgar aaye
Hui qabr roshan usi dam liye jab woh chehra woh chamakdar aaye
Pai peer-o-murshid hamein apna keh do, yeh hum aarzoo le ke darbaar aaye.
Shahab tujh se tujh hi ko maangein ge hum to, tere dar pe jis roz sarkar aaye.
Dawa har marz ki hai khaak-e-madina, shifa paaye dar par jo bimaar aaye.
Sar-e-hashr daaman mein lein ge use jo, nadaamat se rota gunahgaar aaye.
Tere ishq mein aisa ho jaaun be-khud, kabhi hosh mujh ko na sarkar aaye.
Ishaara mile kaash! jannat ka foran, sar-e-hashr jis dam yeh badkaar aaye.
Nigaah-e-karam ho karam jaan-e-aalam, dil-e-gham-zada le ke ghamkhwaar aaye.
Sada sunnatein aam karta rahoon mein, isi haal mein maut sarkar aaye.
Pai shah-e-karb-o-bala maut mujh ko, madine ki galiyon mein sarkar aaye.
Sab islami behnon ko parda ata ho, na paas in ke iblees-e-ayyaar aaye.
Sab islami bhai bhi fashion se bhaagein, Shahab! sunnaton par unhein pyaar aaye.
Bula lo madine mein shah-e-madina, tarapta hua kaash! badkaar aaye.
Tere gham mein be-haal ho jaaye aaqa, palat ke jo taiba se Attar aaye.