Chara gar hai dil to ghayal ishq ki talwar ka
Kya karun main le ke phaha marham-e-zangaar ka
Ru-kash-e-khuld-e-bareen hai dekh kucha-e-yaar ka
Haif bulbul ab agar le naam to gulzar ka
Husn ki be-pardagi parda hai aankhon ke liye
Khud tajalli Aap hi parda hai ru-e-yaar ka
Husn to be-parda hai parda hai apni aankh par
Dil ki aankhon se nahi hai parda ru-e-yaar ka
Ik jhalak ka dekhna aankhon se go mumkin nahi
Phir bhi aalam dil se hai talib tere deedar ka
Tere bagh-e-husn ki raunaq ka kya aalam kahun
Aaftab ik zard patta hai tere gulzar ka
Kab chamakta ye hilal-e-aasman har maah yun
Jo na hota us pe partau abru-e-Sarkar ka
Jaag uthi soyi qismat aur chamak utha naseeb
Jab tasawwur mein samaya ru-e-anwar yaar ka
Hasrat-e-deedar-e-dil mein aur aankhein beh chalein
Tu hi wali hai khudaya deeda-e-khoon baar ka
Bheek apne marham-e-deedar ki kar do ata
Chahiye kuch munh bhi karna zakhm-e-daman daar ka
Kaam-e-neshtar ka kiya naseh nasihat ne teri
Cheer dala aur daman zakhm-e-daman daar ka
Yun hi kuch achha madawa is ka hoga baniger
Chaak kar daloon garebaan zakhm-e-daman daar ka
Aa sar-e-baaleen man bar khez ae nadan tabeeb
Ho chuka tujh se madawa ishq ke beemar ka
Fitne jo uthay mita dalay rosh ne aap ki
Kyun na ho dushman bhi qail khoobi-e-raftar ka
Chauqri bhoola Buraq-e-badpa yeh dekh kar
Hai qadam dosh-e-saba par is subuk-raftar ka
Koi dam ki der hai aatay hain dam ki der hai
Ab chamakta hai muqaddar talib-e-deedar ka
Jab giran mein be-khudi mein un ke qadmon par gira
Kaam to mein ne kiya achhay bhalay hoshyar ka
Aabla pa chal raha hai be-khudi mein sar ke bal
Kaam deewana bhi karta hai kabhi hoshyar ka
Aablon ke sab katoray aah khaali ho gaye
Munh abhi tar bhi na honay paya har khaar ka
Aablay kam maayegi par apni royein raat din
Sookh kar kanta hua dekhein badan har khaar ka
Wa isi bartay pe tha yeh titha paani wah wah
Piyaas kya bujhti dahan bhi tar nahi har khaar ka
Paaon mein chubhte thay pehlay ab to dil mein chubhte hain
Yaad aata hai mujhe reh reh ke chubhna khaar ka
Paaon kya mein dil mein rakh loon paaon jo Taiba ke khaar
Mujh se shoreeda ko kya khatka ho nok-e-khaar ka
Raah par kaantay bichay hain kaanton par chalni hai raah
Har qadam hai dil mein khatka is rah-e-pur-khaar ka
Khaar-e-gul se dehar mein koi chaman khaali nahi
Yeh Madina hai ke hai gulshan gul-e-be-khaar ka
Gul ho sehra mein to bulbul ke liye sehra chaman
Gul na ho gulshan mein to gulshan hai ek ban khaar ka
Gul se matlab hai jahan ho andaleeb-e-zaar ko
Gul na ho to kya karay bulbul kaho gulzar ka
Phir se ho jaye na aalam mein kahin toofan-e-Nooh
Lo ubalta hai samundar apni chashm-e-zaar ka
Dhajjiyan ho jaye daman-e-fard-e-isyaan ka meri
Haath aajaye jo gosha daman-e-dildaar ka
Kauthar-o-Tasneem se dil ki lagi bujh jayegi
Main to pyasa hoon kisi ke sharbat-e-deedar ka
Aaina khana mein un ke tujh se sadha mehr hain
Mehr kis munh se kiya hai hausla deedar ka
Jalwa gah-e-khas ka alam bataye koi kya
Mehr-e-alam tab hai zarra harim-e-yar ka
Haft-e-kishwar hi nahin chaudah tabaq roshan kiye
Arsh-o-kursi lamakan par bhi hai jalwa yar ka
Zard-roo kyun ho gaya khursheed-e-taban sach bata
Dekh paya jalwa kya us matla-e-anwar ka
Haft-e-kishwar hi nahin chaudah tabaq zer-e-nageen
Arsh-o-kursi lamakan kis mere sarkar ka
Yeh mah-o-khoor yeh sitare charkh ke fanoos hain
Shama-e-roshan mein hai jalwa tere rukhsar ka
Marqad-e-Noori pe roshan hai yeh la'al-e-shab chiragh
Ya chamakta hai sitara aap ki peezar ka