Chashm-e-Dil chahe jo Anwar se rabt
Rakkhe khaak-e-dar-e-Dildaar se rabt
Un ki nemat ka talabgaar se mail
Un ki rehmat ka gunahgaar se rabt
Dasht-e-Taiba ki jo dekhe aayen bahaar
Hu anadil ko na gulzaar se rabt
Ya Khuda dil na mile dunya se
Na ho aaina ko zangaar se rabt
Nafs se mail na karna aye dil
Qahar hai aise sitamgaar se rabt
Dil-e-Najdi mein ho kyon hubb-e-Huzoor
Zulmaton ko nahin Anwar se rabt
Talkhi-e-naz'a se us ko kya kaam
Ho jise lal-e-shakar baar se rabt
Khaak-e-Taiba ki agar mil jaye
Aap sehat kare bimaar se rabt
Un ke daaman-e-gohar baar ko hai
Kasa-e-dast-e-talabgaar se rabt
Gul hai ijlaas ka din aur hamen
Mail-e-amla se na darbaar se rabt
Umr yun un ki gali mein guzre
Zarra zarra se barhe pyar se rabt
Sar-e-shorida ko ho dar se mail
Kamar-e-khasta ko deewar se rabt
Aye Hasan khair hai kya karte ho
Yar ko chor kar aghyaar se rabt
Woh kaun hai jo nahin faizyab us dar se
Sabhi hain banda-e-ehsan-e-bargah-e-rafee
Nawazay jatay hain hum se namak haram-e-ghulam
Hamari jaan ho qurban-e-bargah-e-rafee
Mutay-e-nafs hain woh sarkash-e-jin-o-bashar
Nahin jo tabay-e-farman-e-bargah-e-rafee
Salaye aam hai mehman nawaz hain sarkar
Kabhi utha hi nahin khwan-e-bargah-e-rafee
Jamal-e-shams-o-qamar ka singhar hai shab-o-roz
Farogh-e-shama-e-aiwan-e-bargah-e-rafee
Malaika hain faqat daab-e-saltanat ke liye
Khuda hai aap nigahban-e-bargah-e-rafee
Husn-e-jalalat-e-shahi se kyun jhukta hai
Gada nawaz hai sultan-e-bargah-e-rafee