Dil ko un se Khuda juda na kare
Be-kasi loot le Khuda na kare
Us mein roza ka sajda ho ke tawaf
Hosh mein jo na ho woh kya na kare
Yeh wahi hain ke bakhsh dete hain
Kaun un jurmon par saza na kare
Sab tabeebon ne de diya hai jawab
Aah Eesa agar dawa na kare
Dil kahan le chala haram se mujhe
Arre tera bura Khuda na kare
Uzre ummede afw gar na sunain
Ru-siyah aur kya bahana kare
Dil mein roshan hai shama-e-ishq-e-Huzoor
Kaash josh-e-hawas hawa na kare
Hashr mein hum bhi sair dekhein ge
Munkir aaj un se iltija na kare
Zu'f maana magar ye zalim-e-dil
Un ke raste mein to thaka na kare
Jab teri khoo hai sab ka jee rakhna
Wuhi achha jo dil bura na kare
Dil se ik zauq-e-mai ka talib hoon
Kaun kehta hai ittaqa na kare
Le Raza sab chale Madine ko
Main na jaon are Khuda na kare