Dil mera dunya pe shaida ho gaya
Ae mere Allah yeh kya ho gaya
Kuch mere bachne ki surat kijiye
Ab to jo hona tha Maula ho gaya
Aib-posh-e-khalq daaman se tere
Sab gunahgaron ka parda ho gaya
Rakh diya jab us ne patthar par qadam
Saaf ek aaina paida ho gaya
Door ho mujh se jo un se door hai
Is pe main sadqe jo un ka ho gaya
Garmi-e-bazaar-e-Maula barh chali
Nirkh-e-rehmat khoob sasta ho gaya
Dekh kar un ka farogh-e-husn-e-pa
Gohar-e-zarra chand tara ho gaya
Rabbi Sallim woh udhar kehne lage
Is taraf paar apna beera ho gaya
Un ke jalwon mein hain yeh dilchaspiyan
Jo wahan pahuncha wahin ka ho gaya
Tere tukron se pale donon jahan
Sab ka is dar se guzara ho gaya
Assalam ae saakinan-e-koo-e-dost
Ham bhi aate hain jo eema ho gaya
Un ke sadqa mein azabon se chhate
Kaam apna naam un ka ho gaya
Sar wahi jo un ke qadmon se laga
Dil wahi jo un pe shaida ho gaya
Husn-e-Yusuf par Zulekha mit gayin
Aap par Allah pyara ho gaya
Is ko sheru par sharaf hasil hua
Aap ke dar ka jo kutta ho gaya
Zahidon ki khuld par kya dhoom thi
Koi jaane ghar yeh un ka ho gaya
Ghol un ke aasiyon ke aaye jab
Chhat gayi sab bheer rasta ho gaya
Ja para jo dasht-e-Taiba mein Hasan
Gulshan-e-jannat ghar us ka ho gaya
Do aalam mehmaan tu mezbaan khwaan-e-karam jaari
Idhar bhi koi tukda main bhi shehta hoon tere dar ka
Na ghar baithe mile jauhar-e-safa-o-khaksari ke
Murid-e-zarra-e-Taiba hai aina-e-Sikandar ka
Agar us khanda-e-dandan-numa ka wasf-e-mauzun ho
Abhi lehra chale bahr-e-sukhan se chashma-e-gauhar ka
Tere daaman ka saya aur daaman kitne pyare hain
Woh saya dasht-e-mahshar ka yeh haami-e-deeda-e-tar ka
Tumhare kucha-o-marqad ke zaair ko mayassar hai
Nazara baagh-e-jannat ka tamasha-e-arsh-e-akbar ka
Gunahgaaran-e-ummat un ke daaman par machalte hon
Ilahi chaak ho jis dam garebaan subh-e-mahshar ka
Malayik jin-o-insaan sab usi dar ke salami hain
Do aalam mein hai ik shahra mere mohtaj-e-parwar ka
Ilahi tishna-e-kaam-e-hijr dekhe dasht-e-mahshar mein
Barasta abr-e-rahmat ka chhalakna hauz-e-kausar ka