Dushman hai gale ka haar Aaqa
Lut-ti hai meri bahaar Aaqa
Tum dil ke liye qarar Aaqa
Tum rahat-e-jaan-e-zaar Aaqa
Tum arsh ke tajdar Maula
Tum farsh ke ba-waqar Aaqa
Daman daman hawa-e-daman
Gulshan gulshan bahaar Aaqa
Bande hain gunahgar bande
Aaqaa hai karam shiar Aaqa
Is shaan ke hum ne kya kisi ne
Dekhe nahin zeenhar Aaqa
Bandu ka alam ne dil dikhaya
Aur ho gaye be-qarar Aaqa
Aaram se soyen hum kamine
Jaga karen ba-waqar Aaqa
Aisa to kahin suna na dekha
Bandu ka uthayen baar Aaqa
Jin ki koi baat tak na puche
Un par tumhein aaye pyar Aaqa
Pakiza dilon ki zeenat-e-imaan
Imaan ke tum singaar Aaqa
Sadqa jo bane kahin salateen
Hum bhi hain ummidwar Aaqa
Chakra gayi nao be-kason ki
Aana mere gham-gusar Aaqa
Allah ne tum ko de diya hai
Har cheez ka ikhtiyar Aaqa
Hai khaak pe naqsh-e-pa tumhara
Aaina be-ghubar Aaqa
Aalam mein hain sab bani ke sathi
Bigdi ke tumhein ho yaar Aaqa
Sarkar ke tajdar bande
Sarkar hain tajdar Aaqa
De bheek agar jamal-e-rangeen
Jannat ho mera mazar Aaqa
Aankhon ke khandar bhi ab basado
Dil ka to hua waqar Aaqa
Imaan ki taak mein hai dushman
Aao dam-e-ikhtisar Aaqa
Ho shama-e-shab-e-jinan bayan
Tera rukh-e-noor-e-baar Aaqa
Tu rahmat-e-be-hisab ko dekh
Jurmon ka na le shumar Aaqa
Deedar ki bheek kab milegi
Mangta hai ummidwar Aaqa
Bandu ki hansi khushi mein guzre
Is gham mein hoon ashkbar Aaqa
Aati hai madad bala se pehle
Karte nahin intezar Aaqa
Saya mein tumhare dono aalam
Tum saya-e-kardgar Aaqa
Jab fauj-e-alam kare charhai
Ho auj-e-karam hisaar Aaqa
Har mulk-e-khuda ke sache maalik
Har mulk ke shehryar Aaqa
Meri taat se mere jurm fuzoon
Lutf sab se barha hua tera
Khauf-e-wazn-e-amal kise ho hai
Dil madad par tula hua tera
Kaam bigre hue bana dena
Kaam kis ka hua hua tera
Har ada dil nasheen bani teri
Har sukhan jaan fiza hua tera
Ashkara kamaal-e-shaan-e-huzoor
Phir bhi jalwa chupa hua tera
Parda daar-e-ada hazaar hijaab
Phir bhi parda utha hua tera
Bazm-e-duniya mein bazm-e-mahshar mein
Naam kis ka hua hua tera
Man raani faqad ra'al haq
Husn ye haq numa hua tera
Baar-e-asiyan saron se phenke ga
Paish-e-haq sar jhuka hua tera
Yam-e-jood-o-huzoor pyasa hoon
Yam ghata se barha hua tera
Wasl-e-wahdat phir us pe ye khalwat
Tujh se saya juda hua tera
San'a-e-khaliq ke jitne khake hain
Rang sab mein bhara hua tera
Arz-e-taiba qadoom-e-wala se
Zarra zarra sama hua tera
Ae jinan mere gul ke sadqe mein
Takhta takhta basa hua tera
Ae falak mehr-e-haq ke baare se
Kasa kasa bhara hua tera
Ae chaman bheek hai tabassum ki
Ghuncha ghuncha khila hua tera
Zarra-e-koo-e-Habibullah re tere naseeb
Paon par kar arsh ki ankhon ka tara hogaya
Tere saani se koi poochay tera husn-o-jamal
Khud banaya aur bana kar khud hi pyara hogaya
Ham kameeno ka unhein araam tha itna pasand
Gham khushi se dukh teh dil se gawara hogaya
Kyun na ho tum maalik-e-mulk-e-Khuda mulk-e-Khuda
Sab tumhara hai Khuda hi jab tumhara hogaya
Roz-e-mehshar ke alam ka dushmanon ko khauf ho
Dukh hamara aap ko kis din gawara hogaya
Jo azal mein thi wahi talaat wahi tanweer hai
Aaina se yeh huwa jalwa dobara hogaya
Tu hi ne to Misr mein Yusuf ko Yusuf kardiya
Tu hi to Yaqoob ki ankhon ka tara hogaya
Ham bhikari kya hamari bheek kis ginti mein hai
Tere dar se badshahion ka guzara hogaya
Ae Hasan qurbaan jaun is jamaal-e-paak par
Seikron pardon mein reh kar aalam ara hogaya