Gham-e-furqat laaye kaash har dam ya RasoolAllah
Rahoon har waqt mein baadiya-e-gham ya RasoolAllah
Jigar bhi sookhta jaan sookhta, dil chaak seena chaak
Milay gham aur gham bas aap ka gham ya RasoolAllah
Nahi taaj-e-shahi ki aarzoo bas ek armaan hai
Nikal jaaye tumhare roobaru dam ya RasoolAllah
Meray Aaqa bahaaye ashk jo bahr-e-Madina mein
ata kar do mujhe woh chashm-e-pur-nam ya RasoolAllah
Hamare dil ki har dhadkan se Taiba ki sada nikle
Rahe zikr-e-Madina lab pe har dam ya RasoolAllah
Shah! Chashm-e-karam ho tashnagaan-e-deed par ab to
Tumhari deed ka sharbat piyen hum ya RasoolAllah
Madina...
Ae: Deedar ke pyaase