Gham ho gaye beshumar Aaqa
Banda tere nisar Aaqa
Bigra jata hai khel mera
Aaqa Aaqa sanwar Aaqa
Manjhdhar pe aa gayi nao tooti
De hath keh hoon main paar Aaqa
Tooti jati hai peeth meri
Lillah yeh bojh utar Aaqa
Halka hai agar hamara palla
Bhari hai tera waqar Aaqa
Majboor hain hum toh fikr kya hai
Tum ko toh hai ikhtiyar Aaqa
Main door hoon tum ho mere paas
Sun lo meri pukar Aaqa
Mujh sa koi ghamzada na hoga
Tum sa nahi gham-gusar Aaqa
Gardab mein par gayi hai kashti
Duba duba utar Aaqa
Tum woh keh karam ko naaz tum se
Main woh keh badi ko aar Aaqa
Phir munh na paray kabhi khizan ka
De de aisi bahar Aaqa
Jis ki marzi Khuda na talay
Mera hai woh namdar Aaqa
Hai mulk-e-Khuda pe jis ka qabza
Mera hai woh kamgar Aaqa
Soya kiye nabakar banday
Roya kiye zaar zaar Aaqa
Kya bhool hai un ke hotay kehlain
Duniya ke yeh tajdar Aaqa
Un ke adna gada pe mit jain
Aise aise hazar Aaqa
Be abr-e-karam ke mere dhabay
La taghsiluha-l-biharu Aaqa
Itni rehmat Raza pe kar lo
La yaqrubuhu-l-bawaru Aaqa