Anbiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi ke faqat aani hai
Phir usi aan ke baad un ki hayaat
Misle sabiq wahi jismani hai
Rooh toh sab ki hai zinda un ka
Jism pur-noor bhi roohani hai
Aurton ki rooh ho kitni hi lateef
Un ke ajsam ki kab saani hai
Paoon jis khaak pe rakh dein woh bhi
Rooh hai paak hai noorani hai
Us ki azwaj ko jaaiz hai nikah
Us ka tarka bete jo fani hai
Yeh hain Hayye Abadi un ko Raza
Sidq-e-waada ki qaza maani hai