Gunahon ki nahoosat barh rahi hai dam-ba-dam Maula
Main tauba par nahin reh pa raha sabit qadam Maula
Kamar tori hai isyaan ne, dabaya nafs-o-shaitan ne
Na karna hashr mein ruswa, mera rakhna bharam Maula
Gunahon ne mujhe haye! kahin ka bhi nahin chora
Karam ho az tufail-e-Sayyid-e-Arab-o-Ajam Maula
Andheri qabr ka ehsas hai phir bhi nahin jatin
Gunahon ki khudaya aadatein, farma karam Maula
Na karna hashr mein pursish meri ho be-sabab bakhshish
Ata kar bagh-e-firdous az paye Shah-e-Umam Maula
Gunah karte hue gar mar gaya toh kya karoon ga main
Banay ga haye mera kya karam farma karam Maula
Khirad karti nahin ab kaam Ilahi! main hua nakaam
Samajh hi se iltija hai mujh pe kar raham-o-karam Maula
Musalman hoon agarcha bad hoon, sachay dil se karta hoon
Tere har hukm ke aage sar-e-tasleem kham Maula
Tu dara apna inayat kar rahein us darr se aankhein tar
Mita khauf-e-jahan dil se mita dunya ka gham Maula
Tu bas rehna sada raazi, nahi hai taab-e-naaraazi
Tu na-khush jis se ho barbaad hai teri qasam Maula
Chalein dunya se mein us shaan se ae kaash! Ya Allah
Shah-e-Abrar ki chaukhat pe sar ho mera kham Maula
Sunheri jaaliyon ke saamne ae kaash! Aisa ho
Nikal jaaye Rasool-e-Pak ke jalwon mein dam Maula
Atta kar aafiyat tu naz'a o qabr o hashr mein Ya Rabb
Wasila Fatima Zehra ka kar lutf o karam Maula
Ilahi pul-e-sirat ik pul ke andar paar kar jaaun
Tu kar aisi inayat apne Shah-e-Haram Maula
Mein rehmat, maghfirat, dozakh se azaadi ka sail hoon
Mah-e-Ramzan ke sadqe mein farmade karam Maula
Bara'at de azab-e-qabr se naar-e-jahannam se
Mah-e-Shaban ke sadqe mein kar fazl o karam Maula
Ibadat mein, riyazat mein, tilawat mein laga de dil
Rajab ka wasta deta hoon farmade karam Maula
Bana mujh ko Muhammad-e-Mustafa ka aashiq-e-sadiq
Tu de de soz-e-seena kar inayat chashm-e-nam Maula
Nahi darkaar woh khushiyan, jo ghaflat ka banein saaman
Atta kar apni ulfat apne pyare ka tu gham Maula
Gham-e-ishq-e-Nabi aisa atta farma paye Murshid
Ho Naat-e-Mustafa sunte hi meri aankh nam Maula
Bachein be-kaar baaton se parhein ae kaash! Kasrat se
Tere mehboob par har dam Durood-e-Pak hum Maula
Hamari faaltu baaton ki aadat door ho jaaye
Lagayein mustaqil qufl-e-Madina lab pe hum Maula
Jise neki ki dawat doon use dede hidayat tu
Zaban mein de asar kar de atta zor-e-qalam Maula
Ilahi har muballigh paikar-e-ikhlaas ban jaaye
Karam ho Dawat-e-Islami walon par karam Maula
Zamaane ke masaib ne Ilahi gher rakha hai
Paye Shah-e-Madina door hon ranj o alam Maula
Rasool-e-Pak ki dukhiyari ummat par inayat kar
Marizon, ghamzadon, aafat nasibon par karam Maula
Paye Shah-e-Madina ab musharraf Hajj se farma de
Chalein Attar phir rota hua su-e-Haram Maula