Habib-e-Khuda ka nazara karoon main
Dil-o-jaan un par nisar karoon main
Teri kaf-e-pa yun sanwara karoon main
Ke palkon se usko bahara karoon main
Teri rehmaten aam hain phir bhi pyare
Yeh sadmat-e-furqat sahara karoon main
Mujhe apni rehmat se tu apna karle
Siwa tere sab se kinara karoon main
Main kyun ghair ki thokar khane jaon
Tere dar se apna guzara karoon main
Salasil masaib ke abroo se kato
Kahan tak masaib gawara karoon main
Khudaya ab aao ke dam hai labon par
Dam-e-wapsi tu nazara karoon main
Tere naam par sar ko qurban karke
Tere sar se sadqa utara karoon main
Yeh ik jaan kya hai agar hon karoron
Tere naam par sab ko wara karoon main
Mujhe hath aaye agar taj-e-shahi
Teri kaf-e-pa par nisara karoon main
Tera zikr-e-lab par Khuda dil ke andar
yunhi zindagani guzara karoon main
Dam-e-wapsi tak tere geet gaon
Muhammad Muhammad pukara karoon main
Tere dar ke hote kahan jaon pyare
Kahan apna daman pasara karoon main
Mera deen-o-imaan farishtey jo poochein
Tumhari hi janib ishara karoon main
Khuda aisi quwwat de mere qalam mein
Ke bad-mazhabon ko sudhara karoon main
Jo ho qalb-e-sona to yeh hai suhaga
Teri yaad se dil nikhara karoon main
Khuda ek par ho to ik par Muhammad
Agar qalb apna do para karoon main
Khuda khair se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bahara karoon main
Saba hi se Noori salam apna keh de
Siwa is ke kya aur chara karoon main