Hai jis ki saari guftagu wahi khuda yeh hi to hain
Haq jis ke chehre se ayan woh haq numa yahi to hain
Suraj mein jin ki hai chamak jin ka ujala chand mein
Phoolon mein jin ki hai mehak woh meh-laqa yahi to hain
Sara jahan chhor de jis mujrim-e-deed kaar ko
Daman mein un ke woh chhupe mushkil kusha yahi to hain
Un ka mubarak naam bhi hai chain dil ka chain hai
Jo ho mareez-e-la dawa us ki dawa yahi to hain
Gun gaayein jin ke ambiya maangein rusul jin ki dua
Woh do jahan ke mud'a salle ala yahi to hain
Sajda shajar jinhein karein patthar gawahi jin ki dein
Dukh dard oont bhi kahein hajat rawa yahi to hain
Hai farsh ka jo badshah hai arsh jis ke zer-e-pa
Salik mila jis se khuda woh ba-khuda yahi to hain