Amna Attariya hajj ko chale umeed hai
Gumbad-e-Khizra ki deed uski bila shak eid hai
Marhaba tum ko mubarak ho Madine ka safar
Fazl-e-Rabb se tum pe nazil rehmaten hon har dagar
Ya Khuda! Aasan ho is ke liye hajj ka safar
Zauq barhta hi rahe is ka Khudaye bahr o bar
Ronay wali aankh de aur chaak seena kar ata
Yarab! Is ko ulfat-e-Shah-e-Madina kar ata
Zarrey zarrey ka adab Allah is ko ho naseeb
Az tufail-e-Sayyidi Ahmad Raza Rabb-e-Mujeeb!
Imtihan darpesh ho rah-e-Madina mein agar
Sabr kar tu sabr kar haan sabr kar bas sabr kar
(Wazeh rahe ke sabqa safhat mein ye kalam kuch taghayyur ke sath mazkoor ke liye kaha gaya hai umeed hai ke zaroori tafreeq ke sath dono kalam alag alag hone mein qareen ko sahulat rahe gi)
Koi dhutkare ya jhaare balkay mare sabr kar
Mat jhagad, mat burbura, pa ajr-e-Rab se sabr kar
Rah-e-janan ka har ik kanta bhi goya phool hai
Jo koi shikwa kare uski yaqeenan bhool hai
Tum zaban ka aankh ka du-qufl-e-Madina lo laga
Warna barh sakta hai isyan ka wahan bhi silsila
Guftagu sadir na kuch bekar ho ehram mein
Lab pe bas Labbaik ki takrar ho ehram mein
Jab kare tu khana-e-Kaaba ka ro ro kar tawaf
Yeh dua karna Khuda mere gunah kar de muaf
Tera hajjan! jis ghari ho dakhla Arafat mein
Karna nadim ho ke tu aah o buka Arafat mein
Halat-e-ehram mein yaad-e-kafan ho qabr ho
Yad kar Arafat mein tu Hashr ke maidan ko
No ko jab Arafat mein haji ikhate hon sabhi
Bhool mat jana duao mein mujhe tu us ghari
Jis ghadi karne lage qurban Muna mein janwar
Tu tasawwur hi mein apne nafs ko bhi zabah kar
Haziri ho jab Madine mein tumhari hajjino!
Ishq-e-Shah mein khoob karna aah-o-zari hajjino!
Le ke jajna! bargah-e-Mustafa mein mera naam
Washt basta arz karna un se ro ro kar salam
Ro ke karna mere iman ki hifazat ki dua
De shahadat ka sharaf mujh ko Madine mein Khuda
Is ka Hajj ya Rabb! Nabi ka wasta kar le qabul
Do-jahan mein is pe barsaya Khuda rahmat ke phool
Apne munh se khud ko jajna tu kabhi kehna nahin
Be-zarurat apni neki ka bayan achha nahin
Har baras Hajj ka sharaf pao Madine jao tum
Aur Baqi-e-Pak mein aakhir mein madfan pao tum
Karna tum Attar ke haq mein dua-e-maghfirat
Is jahan mein afiyat ho us jahan mein afiyat