Hamare dil se zamane ke gham mita Ya Rab
Ho meethe meethe Madine ka gham ata Ya Rab
Gham-e-hayat abhi rahaton mein dhal jayen
Tere ata ka ishara jo ho gaya Ya Rab
Paye Hussain-o-Hasan Fatima Ali Haider
Hamare bigde hue kaam de bana Ya Rab
Hamari bigdi hui aadatein nikal jayen
Mile gunahon ke amraaz se shifa Ya Rab
Mujhe de khud ko bhi aur sari duniya walon ko
Sudharne ki tadap aur hosla Ya Rab
Hamesha haath bhalai ke waste uthein
Bachana zulm-o-sitam se mujhe sada Ya Rab
Rahein bhalai ki raahon mein gaamzan har dam
Karein na rukh mere paaon gunah ka Ya Rab
Gunah gar talabgar-e-afw-o-rehmat hai
Azab sehne ka kis mein hai hosla Ya Rab
Karam se 'Neki ki dawat' ka khoob jazba de
Doon dhoom sunnat-e-Mehboob ki macha Ya Rab
Ata ho Dawat-e-Islami ko qabool-e-aam
Isay shuroor-o-fitan se sada bacha Ya Rab
Main pul-e-sirat bila khauf paar kar lunga
Tere karam ka sahara jo mil gaya Ya Rab
Kahein ka ah! gunahon ne ab nahin choda
Azab-e-naar se Attar ko bacha Ya Rab