Hamd hai us zaat ko jisne musalman kar diya
Ishq-e-Sultan-e-Jahan seena mein pinhaan kar diya
Jalwa-e-zeeba ne aaine ko hairan kar diya
Meher-o-mah ko unke talwon ne pasheman kar diya
Ae Shahe-e-Lolaak teri aafrinish ke liye
Haq ne lafz-e-kun se paida saaz-o-samaan kar diya
Kya gushaish thi Sarwar-e-Alam ke husn-e-paak mein
Sainkdon kuffar ko dam mein musalman kar diya
Ho gayi kafoor zulmat dil munawwar ho gaye
Jis taraf bhi usne apna roo-e-taban kar diya
Naimat-e-konain de kar unke dast-e-paak mein
Donon aalam ko Khuda ne unka mehmaan kar diya
Yad-e-farma kar qasam Haq ne zameen-e-paak ki
Khaak-e-na'al-e-Mustafa ko taaj-e-shahan kar diya
Door hi se sabz gumbad ki jhalak ko dekh kar
Ashiqon ne tukde tukde jaib-o-damaan kar diya
Us Arab ke chand ka jalwa mujhe darkaar hai
Jis ne har zarre ko apne maah-e-taban kar diya
Sainkdon murda dilon ko noor-e-imaan bakhsh kar
Zinda-e-javed ae Isa-e-dauran kar diya
Griya-o-zaari ne raaton ko teri abr-e-karam
Misle-gul subh-e-qayamat hum ko khandan kar diya
Ya Rasool Allah aghisni waqt hai imdad ka
Nafs-e-kafir ne mujhe be-had pareshan kar diya
Teri nusrat aise nazuk waqt mein haami rahe
Najdiyon ne ya Nabi lakho ko shetan kar diya
Hai Jamil Qadri par fazl-e-Allah-o-Rasool
Tera murshid Hazrat-e-Ahmed Raza khan kar diya