Hasrat-o-ahasrata Shah-e-Madina Alwida
Phat raha hai aap ke gham mein ye seena Alwida
Khoob aata tha suroor Aqa Madine mein mujhe
Chhota hai haye ab meetha Madina Alwida
Teri galiyon se bichhar kar bhi hai koi zindagi
Door reh kar haye marna haye jeena Alwida
Aankh roti hai tarapta hai dil-e-ghamgeen ab
Lut raha hai haye qurbat ka khazeena Alwida
Dil mera gham-naak-e-furqat se kaleja chaak chaak
Phat raha hai tere gham mein haye! seena Alwida
Main shikasta dil liye bojhal qadam rakhta hua
Chal para hoon ya Shahanshah Madina Alwida
Khoon rota hai dil-e-maghmoom ranjar shah mein
Chaak hai mera kaleja chaak seena alvida
Qafila chalne ko hai sab ro rahe hain zaar zaar
Toota hai haye! Dil ka aabgeena alvida
Jaane kab phir aayega baitha Madina dekhne
Kab safar payega badkar o kameena alvida
Naam sunte hi Madine ka main Aqa ro padun
Kaash! Aajaye mujhe aisa qareena alvida
Aap ki yaadon ke sadqe woh mile sanjeedgi
Main na phir beja hansun Shah-e-Madina alvida
Maal ka talib nahin de do faqat soz-e-Bilal
Ho ata apne gada ko yeh khazeena alvida
Apni ulfat ki sharab aisi pila aaye na hosh
Mujh ko hargiz ae Shehenshah-e-Madina alvida
Kaash! Main jaun jidhar dekhun Madine ki bahaar
Ho ata Aqa mujhe woh chashm-e-beena alvida
Go bura hun, be-amal hun par nahin be-adab
Aap ka hun, aap ka, go hun kameena, alvida
Al-firaq aah al-firaq ae pyare Aqa al-firaq
Phir bulalo jald Aqa-e-Madina alvida
Ya Rasul Allah! Ab le lo salam-e-aakhri
Chalne wala hai Karachi ko safeena alvida
Aah! Ab Attar jata hai Madine se watan
Haye majboori! Sukoon-e-qalb cheena alvida