Hawa jaata hai dushman sab zamana ya Rasool Allah
Sunaoon ab kise gham ka fasana ya Rasool Allah
Mujhe charon taraf se dushmanon ne gheer rakha hai
Bachana ya Rasool Allah bachana ya Rasool Allah
Jo apne the wahi begane ho kar ab satate hain
Karam lillah! ya Shah-e-Zamana! ya Rasool Allah
Bhanwar mein phans chuki hai nao Aqa! haye kya hoga!
Shaha! jaldi se paar aakar laga do ya Rasool Allah
Gham-o-aalam ne har simt se Aqa jakar dala
Paye Ghous-o-Raza aakar churana ya Rasool Allah
Shahan! Gulzar-e-Sunnat par khizan ne kar diya hamla
Baharein sunnaton ki phir dikhana ya Rasool Allah
Gham-e-dunya mein kyun royein hamein kar do naseeb Aaqa
Tumhare gham mein hi aansu bahana ya Rasool Allah
Dubaya balkay maara bhi mujhe ya Mustafa jis ne
Usay bhi apnay seenay se lagana ya Rasool Allah
Nahi Attar qabil-e-imtehan ke sarwar-e-alam
Baharsurat tumhein is ko nibhana ya Rasool Allah