Ho Ata Apna Gham, Tajdar-e-Haram
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Ho ata apna gham, Tajdar-e-Haram, deejiye aankh nam, Tajdar-e-Haram
Keejiye shaad-kaam, apna keh ke ghulam, jhoom jayen ge hum, Tajdar-e-Haram
Maal bhi aal bhi, baal bhi khaal bhi, sadqay jaan-o-dilam, Tajdar-e-Haram
Tera khate hain hum, tera peete hain hum, tere Rabb ki qasam, Tajdar-e-Haram
Aisa kar do sabab, bas utar jaye ab, dil mein khar-e-Haram, Tajdar-e-Haram
Yeh chamak yeh damak, yeh mehak yeh lehak, hai bahar-e-qadam, Tajdar-e-Haram
Jo bhi manga mila, marhaba marhaba, shaan-e-jood-o-karam, Tajdar-e-Haram
Ghar sajate rahein aur manate rahein, Eid-e-Milad-e-hum, Tajdar-e-Haram
Eid-e-Milad mein, gayen ge yaad mein, sabz pyara alam, Tajdar-e-Haram
Gun-gunate rahein geet gate rahein, umar bhar tere hum, Tajdar-e-Haram
Tere deewane sab, ayen su-e-Arab, dekhein saare Haram, Tajdar-e-Haram
Seena jalta rahe, dil machalta rahe, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ya Rasool-e-Khuda, Sarwar-e-Ambiya, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Gham ki kaali ghata, ko shaha do hata, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Mehr-o-mah-e-meen, hai yeh arz-e-khazein, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ya Nabi al-madad, ae Rasool al-madad, ho karam ho karam, Tajdar-e-Haram
Jalwa-e-yaar ho, qabr-e-Attar ho, kash ho yeh karam, Tajdar-e-Haram